Misaal-e-Mustafa Koi Payambar Ho Nahin Sakta Naat Lyrics

 

मिसाल-ए-मुस्तफ़ा कोई पयम्बर हो नहीं सकता
सितारा लाख चमके, मेहर-ए-अनवर हो नहीं सकता

तजल्ली ज़ात की है जल्वा-ए-रुख़्सार-ए-अहमद में
हसीं ऐसा कोई, अल्लाहु अकबर ! हो नहीं सकता

बड़ों में सब से पहले किस ने तस्दीक़-ए-रिसालत की
सदाक़त में कोई सिद्दीक़-ए-अकबर हो नहीं सकता

नबी के यार और अन्सार सब अफ़ज़ल हैं ‘आलम में
मगर मिस्ल-ए-‘अली कोई बिरादर हो नहीं सकता

हबीब-ए-किब्रिया के जा-नशीं फ़ारूक़-ओ-‘उस्माँ हैं
कोई इन ख़ासगान-ए-हक़ का हम-सर हो नहीं सकता

कोई हो मुत्तक़ी-ओ-‘आलिम-ओ-ज़ाहिद ज़माने में
मगर आल-ए-मुहम्मद के बराबर हो नहीं सकता

चढ़ाया उन को काँधे पर रसूलुल्लाह ने अक्सर
कोई हम-रुत्बा-ए-शब्बीर-ओ-शब्बर हो नहीं सकता

हुआ तू, अशरफ़ी ! मद्दाह सुलतान-ए-दो-‘आलम का
नसीबे का कोई ऐसा सिकंदर हो नहीं सकता

शायर:
अशरफ़ी मियाँ

ना’त-ख़्वाँ:
अमीर हम्ज़ा ख़लीलाबादी

 

misaal-e-mustafa koi payambar ho nahi.n sakta
sitaara laakh chamke, mehr-e-anwar ho nahi.n sakta

tajalli zaat ki hai jalwa-e-ruKHsaar-e-ahmad me.n
hasee.n aisa koi, allahu akbar ! ho nahi.n sakta

ba.Do.n me.n sab se pehle kis ne tasdeeq-e-risaalat ki
sadaaqat me.n koi siddiq-e-akbar ho nahi.n sakta

nabi ke yaar aur ansaar sab afzal hai.n ‘aalam me.n
magar misl-e-‘ali koi biraadar ho nahi.n sakta

habeeb-e-kibriya ke jaa-nashee.n faarooq-o-‘usmaa.n hai.n
koi in KHaasgaan-e-haq ka ham-sar ho nahi.n sakta

koi ho muttaqi-o-‘aalim-o-zaahid zamaane me.n
magar aal-e-muhammad ke baraabar ho nahi.n sakta

cha.Dhaaya un ko kaandhe par rasoolullah ne aksar
koi ham-rutba-e-shabbir-o-shabbar ho nahi.n sakta

huaa tu, Ashrafi ! maddaah sultaan-e-do-‘aalam ka
naseebe ka koi aisa sikandar ho nahi.n sakta

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *