Meri Jaan Hussain Manqabat Lyrics
Manqabat Khwan: Hafiz Ahmad Raza Qadri
Hussain.. Hussain.. Hussain.. Hussain..
Meri Jaan Hussain
Imaan Hussain
Pahchan Hussain
Mera Maan Hussain
Woh Dil Hi Kya Ke Jismein Samoya Nahin Hussain
Behtar Hai Woh Ke Jismein Khoya Nahin Hussain
Meri Jaan Hussain.. × 4
Meri Jaan Hussain.. × 4
Kah do Hawa Se Jaakar Ab Shor Na Kare
Taiba Se Karbala Tak Soya Nahin Hussain
Hussain.. Hussain..
Libaas Hai Phata Hua, Ghubaar Mein aTaa Hua
Tamam Jisam e Naaz-Neeñ Chhida Hua Kata Hua
Yeh Kaun Zee Waqar Hai, Bala Ka Shah-Sawar Hai
Ke Hai Hazaaroñ Qatiloñ Ke Samne Dataa Hua
Ye Bil Yaqeeñ Hussain Hai
Nabi Ka Noor e Ain Hai
Ke Jiski Ek Zarb Se, Kamaal-e Fann-e Herb Se
Kayi Shaqi Gire Hue Tadap Rahe Hain Kerb Se
Yeh Kon Haq Parast Hai, Mai-e Rida Se Mast Hai
Ke Jis Ke Samne Koi Buland Hai Na Past Hai
Udhar Hazaar Ghaat Ha Magar Ajeeb Baat Hai
Ke Ek Se HazarHa Ka Hausla Shikast Hai
Dilaawari Mein Fard Hai, Bada Hi Sher Mard Hai
Ke Jis Ke Dabdabe Se Rang Dushmano Ka Zard Hai
Habib-e Mustafa Hai Yeh, Mujahid e Khuda Hai Ye
Jabhi To Is Ke Samne Yeh Fauj Gard Bard Hai
Udhar Sipaah-e Shaam Hai, Hazar Intizam Hai
Udhar Haiñ Dushmanaan-e Deeñ, Idhar Faqt Imam Hai
Magar Ajeeb Shaan Hai, Ghazab Ki Aan Baan Hai
Wo Jis Taraf Uthi Hai Teigh Bas Khuda Ka Naam Hai
Hussain.. Hussain…
Meri Jaan Hussain .. × 4
Meri Jaan Hussain .. × 4
Mujhse Mere Hussain Ka Na Poochho Hausla
Jitne Bhi Dard Aaye Roya Nahin Hussain
Woh Dil Hi Kya Ke Jis Mein Samoya Nahi Hussain..
Haakim Ridaa e Deen Per Woh Daagh To Dikha
Jisko Lahu Se Apne Dhoya Nahin Hussain
Woh Dil Hi Kya Ke Jis Mein Samoya Nahi Hussain..
Meri Jaan Husain .. × 4
Meri Jaan Husain .. × 4
Pahchan Hussain..