Maine Pucha Chand Se LyricsMaine Pucha Chand Se Lyrics

Maine Pucha Chand Se Lyrics

maine poochha husn se ke dekha hai kahin
zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai
badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai
muhammad mustafa ka naam bhi kya isme aazam hai
jahaan koi na kaam aaye wahan yeh kaam aata hai

bemisl hai kya shauk tera naayi hai
khaalik bhi fida khalq bhi shaidaayi hai
khaalik ne muhabbat mein niraale rukh se
sarkaar ke chehre ki kasam khaayi hai

maine poochha husn se ke dekha hai kahin sarkaar sa haseen
husn ne kaha dilbari ki kasam nahin nahin nahin

waliyon se jawaab unka poochha nabiyon ne misaal unki poochhi
kudsiyon ki anjuman mein maine azmat e jamaal unki dhoondhi

poochha jibraaeel se ke dekha hai kahin aisa shah e naazneen
bola jibraeel zaat e haq ki kasam nahin nahin nahin

yun hai qayanaat mein madina jaise ho angoothhi mein nagina
us gali ke zarre woh hain jinse zaufsa hai mer o maa ka seena

maine poochha arsh se ke dekhi hai kaheen madine se zameen
arsh ne kaha bartari ki kasam nahin nahin nahin

aadmi ko aadmi banaaya falsafa hayaat ka bataaya
doobte safeena e jahan ko sahil e muraad par laagaaya

maine poochha khizr se falak ho ya zameen aisa hadi hai kahin
khizr ne kaha rehbari ko kadam nahin nahin nahin

lab mere hazoor ke hain aise bheekh jinki laal ho yaman se
narmi aur naazuki na poochha paani paani phool hain chaman ke

maine poochha phool se aye bagh ke makeen dekhe aise lab kaheen
phool ne kaha pankhuri ki kasam nahin nahin nahin

do jahaan ke taajdaar ho par phir bhi farsh e khaak par dai dauraan
poochha fakhr se ke dekha aisa shah e deen jo ho boriya nasheen

poochha fakhr se ke dekha aisa shah e deen jo ho boriya nasheen
fakhr ne kaha saadgi ki kasam nahin nahin nahin

zulf hai mere huzoor ki ya rehmaton ki surmayin ghataayein
gesuon ke pech keh rahe hain ham hi mujrimon ki hain panahein

maine poochha raat se ke dekhi hai kahin aisi zulf e ambarin
raat ne raab hi ki kasam nahin nahin nahin

ke khusa kamaal e mustafayi jalwagar hai zaat e qibriyaayi
woh dar e huzoor hai ke ‘Sajid’ sajda rez hai jahan khudaayi

poochha maine jab ke tune dekhi hai jabeen aisa aastaan kahin
boli yun jabeen bandagi ki kasam nahin nahin nahin

 

SAAYE ME SAYYIDA KE, AZADARE RAHENGE.
JAB HOGA SAWAA NEZE PE KHURSHIDO QAYAMAT (X2)
BARTA HI CHALAA JAYENGE SHABBIR-E KA MATAM (X2)
AAYE JO GHAM-E SHEH KE, ALAMDAR-E RAHENGE.
HUM KABRE ME SOJAYENGE JAB-E, BE KHABERI SE (X2)
MATAM KI NISHAA RUH, ME BE DE DAAR-E RAHENGE.
HAR CHIZ-E KO DUNIYA ME FANAA, HONA HAI IK DIN (X2)
QAYAM GHAME SHABBIR-E KE AASAAR RAHENGE.
JANAT ME AGAR MAJLISE SHABBIR-E JO HOGI (X2)
HAM EHLE AZAA KHULD-E SE BEZAAR-E KARENGE.
BE JAAN-E KHUDA-O SE KAHA, BINTE ASAD-E NE (X2)
KAABE ME TO AB HAIDAR-E KARRAR-E RAHENGE.
EK BAAR-E ZARA NAM-E ALI, LEKE TO DEKHO (X2)
MUSHKIL ME MADAD GAAR-E WO HAR BAR-E RAHENGE.
ZAINAB KE KHULE SAR BHARE DAR, BAR-E ME JAANAA (X2)
SAJAAD-E ISI DARD-E SE BIMAAR-E RAHENGE.
WO MASHK-E KA CHIDNA WO SAKINA KA BILAKNA (X2)
ABBAS-E KA SINE PE, SADAA WAR-E RAHENGE.
29
ALLAH MUJHE LASHKAR E MEHDI SE MILADE
AISA NA HO AAKA MERA HALMIN KI SADA DE
NAZRON KO MERI LAIK-E-DEEDAR BANA DE
PARDA JO PARA HAI MERI ANKHON SE UTHA DE
HADI YE ZAMAA KAA RUKHE PURNOOR DIKADHE
HAR AIK NISHA KUFR ZALALAT KA MITA DU
HAR RAAH MAIN AIK DEEP SADAKAT KA JALA DU
IS KHAIR E AMAL KI MUJHE TOUFEEK KHUDA DE
LIKH DE MERI TAKDEER MAIN MOLA KI GHULAMI
HAASIL MUJHE HOJAYE YEH EZAZ E DAWAMI
HAR KWAHISHE E DUNIYA KO MERE DIL SE MITA DE
SHAMIL RAHE LEHJE MAIN SADA HARFE SADAKAT
SHAMSHEER TALAY MAIN BHI KARU KOI IBADAT
AY KASH MUJHE FATIMA ZAHRA BHI DUA DE
SHABBIR KE ANSAR MAIN SHAMIL HO MERA NAAM
JO HURR KA HO MEHSHAR MAIN WOHI HO MERA ANJAAM
KHAKE KADAME HAZRATE SHABBIR BANADE
DEKHU NA AGAR UTHTE HUWE PARDA E GHAIBATH
AYE JO MERE BAAD YAHAN HAZRAT E HUJAT
TURBAT MAIN ABAD KOI MERA SHANA HILA DE
30
DUA-E MANG RAHA HU,
KHUDA ASR DEDE
ME CHAND ZAHRA KA DEKHU,
MUJE NAZAR DEDE
SUNA HAI NOOR SA CHEHRA HAI,
MERE MAWLA KA
NIGAHE MERI HAI BE NOOR,
TU NAZAR DEDE
ME SUBHO SHAM ZIYARAT,
KARU TERI MAWLA
AGAR ARIZE KO MERE,
KHUDA NAZAR DEDE
MERE IMAM KE PICHE
PARHENGE ISSA NAMAAZ
BAS IS NAMAAZ KI TU
POPE KO KHABAR DEDE
ALAM UTHATA HU ABBAS KA
MERE MALIK
JUKE NA AAGE KISIKE
MUJE WO SAR DEDE
31
KERBOBALA NASEEB SE JAANA, NASEEB HO
PHIR LAUT KAR WAHAA SE, NA AANA NASEEB HO
AISA DARE HUSSAIN PE, SAJDA HO AAKHRI
PHIR MUJKO APNA SAR NA, UTHANA NASEEB
PARWARDIGAAR THOKARE, DAR DAR KI KAB TALAK
AB MUSTAKIL NAJAF ME THIKANA NASEEB HO
JAISA MILA NASEEB SE, UMMUL BANEEN KO
AB KYA KISI KO AISA, GARANA NASEEB HO
JEE CHAHTA HAI SAAMNE, BEHTE HO PENJETAN
UNKI SANAA UNHI KO SUNANA NASEEB HO
AANKHO KO JAB BHI ASHQ, BAHANA NASEEB HO
AALE NABI KEG HAM KA BAHANA NASEEB HO
MEHSHAR YE AARZO HE KE, BE GHUSLO BEKAFAN
KERBOBALA KI TEH ME SAMAANA NASIB HI
PHIR LAUT KAR WAHAASE, NA AANA NASEEB HO
32
(HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN) X6
YE HAMAARI QISMAT HAI,
HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN
(HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN) X4
(HAM NABI KE AASHIQ HAI,
HAM ALI (A.S.) KE DEEWANE) X2
AUR HASSAN (A.S.) SE NISBAT HAI
(HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN) X4
(HAM SE FAATEMA ZEHRA (A.S.),
KAR CHUKI HAI EK WAADA) X2
AB HAMAARI JANNAT HAI
(HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN) X4
(YA ALI (A.S.) KI MIDHAT HAI,
YA HUSAIN (A.S.) KA MAATAM) X2
HAR NAFAS IBAADAT HAI
(HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN) X4
(HAM BATAATE DUNYA KO,
HAM SE PUCHTI DUNYA) X2
GHAM MEIN KITNI LAZZAT HAI
(HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN) X4
(KHULQ HAI MURAWWAT HAI
ILM O FAN HAI HIKMAT HAI) X2
KHUN MEIN SHARAAFAT HAI
(HAM HUSAIN (A.S.) WAALE HAIN) X4
33
GHAM KA ILAAJ ISKE SIWAA AUR KUCH NAHIN
KHAAKE SHIFAA HAI MERI DAWAA
AUR KUCH NAHIN
PAAYEGA HAR MARIZ SHIFAA SHART HAI MAGAR
MILJAAYE BAS ALAM KI HAWAA
AUR KUCH NAHIN
GAR CHAAHTEHO FATEMA AAYE BEHISHT SE
GHAR ME BICHAADO FARSHE AZAA
AUR KUCH NAHIN
USNE KAHAAN KE DIN KI TAARIKH POORI LIKH
MAYNE FAQAT HUSSAIN LIKHAA
AUR KUCH NAHIN
YE KYUN JANAAB AAPKA CHEHRA UTAR GAYAA
MAYNE TO YA ALI HI KAHAAN
AUR KUCH NAHIN
GHURBAT KI TEZ DHOOP SE BACHNE KE WASTE
PARTE RAHO HADISE KISAA
AUR KUCH NAHIN
34
CHAWDA SADIYAN BEET GAYIN SHABBIR KA CHARCHA BAQI HAI
QURAN AB TAK BOL RAHA HAI KHANA KAABA BAQI HAI
KARBOBALA KA PAAK E SAHARA, GUMBAD E KHIZRA BAQI HAI
SARAY JANDAY TOOT CHUKAY HAIN, SABZ PHARAIRA BAQI HIA
IN CHODA SADIYAN KAY ANDER, CHODA SO TUFAAN UTHAY
UMAWI HARKAARAIN DORAIN HAIN, ABBASI SULTAN UTHAY
LAAKHON HOBUL SEENON MAIN CHUPAAI, HAATHON PAR QURAN UTHAY
JIN KI BUNYADON MAIN LAHO THA, QASR WOH AALI SHAAN UTHAY
SAB DEWAARAIN BHAIT GAYIN, MAZLOOM KA ROZA BAQI HAI
TEGH O TABR NAY RASTAA ROKA, FOJON KI YALGHAAR HOWI
LAAL O GOHAR NAY DAAM LAGAAI, SIKON KI JHANKAAR HOWI
LAMBI QABAAON WALAY UTHAY, FATWON KI BHARMAAR HOWI
DEEDAI IBRAT TU HI BATA, YE JEET HOWI YA HAAR HOWI
SAJDAY MAIN SAR KAAT LIYA, THA LEKIN SAJDA BAQI HAI
KYA JANAY KIN KIN QOMON NAY, DERAI DALAY DARYA PAR
AAI AA KAR LOT GAAI, SAB GORAY KALAY DARYA PAR
AB BHI MILAINGAY TOOTAY HUWE, KUCH KHUNJAR BHALAY DARYA PAR
QABZA KARNAY AAI THAY SAB TAQAT WALAY DARYA PAR
SAB KA QABZA KHATM HOWA, ABBAS KA QABZA BAQI HAI
PYAASON K INKAAR KA KHANJAR, GARDAN PAR KUCH AISA CHALA
LAKHON FITNAY UTHAY LAIKIN, PHIR SAR BAYAT UTH NA SAKA
JAB BHI KISI K DIL MAIN TAMMANA, BAYAT KI UTH TI HAI ZARA
TO KEHTA HAI ABBAS KA PARCHAM, FIKR E YAZEEDI HOSH MAIN AA
JIS NAY TUJHAY MARA THA TAMACHA AB BHI WO PANJA BAQI HAI
DEEN E NABI KI KHOON KI HARARAT SEEN A E ALAM KI DHARKAN
AARZOO E ZEHRA O PAYAMBAR JAAN E ALI O ROOH E HASAN
BHAITA HUWA HAI PARDAY MAIN TALWAR LIYAY EK QALLA SHIKAN
TAKAT PAR ITRANA KAISA DEEN E ILAHI K DUSHMAN
BADR O HUD SAY BHAAGNAY WALON AAKHRI HAMLA BAQI HAI
35
AABAAD HUI KERBOBALA UJDAA MADINA
BARBAAD HUWI ME
YU HAZRATE ZAINAB NE KAHAA PEET KE SINA
BARBAAD HUWI ME
EK DIN THA KE CHAADAR MERE SARSE GIRI THI
SURAJ BHI NA NIKLA
SAR NANGE FIRAATA HAI MUJE AAJ KAMINA….
EK DIN THA KE IS SHEHR KI KARTITHI ME SHAAHI
AUR AAJ TABAAHI
BE GHUSL PADAA MOHRE NABUWWAT KA NAGHINA…
BHAAI MUWE BETE MUWE ZINDAANME FASE HAI
WARIS NAHI KOI
ABBAS NAHI JEETE NAHI SHAAHE MADINA, …
YE NEEL TAMAACHO KE MERE MUH PE PADE HAI
ME KISKO DIKHAWU
NEZEKE TALE BETH KE ROTI HAI SAKINA…
KAANOKO MERE CHEERKE DUR LEGAYAA ZAALIM
ME REH GAYI ROTI
YE CHAANDSA CHEHRA NAHI DEKHEGI SAKINA…
KAASIM NAHI AKBER NAHI ABBAS NAHI HAY
AABID HAI TO BEEMAR
YE KAYSA PARAA MUJPE MUHARRAM KA MAHINA
36
KARBALA TAAZIM KAR AAYI BAHAN SHABIR KI
JAAKE KADMOSE LIPAT TU ZAINABE DILGEER KI
KABR SE BE SAR BAHATTAR TAN UTHE TAAZIM KO
DEKH ISTIKBAAL KO HAAYE FURAATE SHAMSHIR BHI
BAAP KE HAATHO PE HAY, MAASOM ASGHAR TISHNALAB
DEKH AB TAK HAY NISHAANI HURMALAA KE TEER KI
KAIDSE CHUTKAR HAI AATA KAAFELAA ZAWWAAR KA
PUCHLE UNSE SITAM ZINDAAN KI JAAGIR KA
KALE MEHMIL ME HAY BETHI BIBIYA SAB DUKHJALI
DAAGHOSE CHALNI JIGAR HAI SHAA KI HAMSHIR KI
KAID HOAKR JAB CHALITHI SARPE CHAADAR BHI NATHI
SAR KHULE BAZAAR ME THIS WAARISE TAT-HIR KI
LAASH THA BE GHOR BHAI KA BAHEN SAR NANGE THI
BHAI HAY AB KABR ME PARDE ME HAY HAMSHIR BHI
AAJ TAK RONEKI BEWAAN KO IJAAZAT BHI NATHI
AB RIHAAI MIL GAI HOGI AZAA SHABIR KI
NANNI SI TURBAT YE ASGHAR KI CHUPAALE KARBALA
KYA TARAPNAA SUN SAKONGE MAADARE BESHIR KA
MAADARE AKBER BHI AATI HAI KALEJAA THAAM KAR
WO GILAA KISSE KARE RUTHI HUI TAKDIR KI
TUM SAKINA KO NA DHUNDHO TURBATE ABBAS PAR
REHGAYI HAI SHAM ME WO LAADLI SHABBIR KI
37
ZAHRA KI BETIYON KI RIDAEN UTAR GAYI.. X2
SAJJAD KO ZAEEF SADAAEN YE KAR GAYI..
LASHON KO RASSIYON ME JAKAD KAR LIYE PHIRON X2
SAIDANIYA TOH PHIRSE NIKALTE HI MAR GAYI
JAATI THI JO KABHI KABHI ZAHRA KI QABR PAR X2
JAANE KHUDA HUJOOM SE KAISE GUZAR GAYI
ZULM-O-SITAM KI TEZ HAWAEN THI JAB CHALI X2
SAB GULSHANE BATOOL KI KALIYAAN BIKHAR GAYI
WO DO SERAHE SHAAM ME GIR-GIR KE MAR GAYE X2
BACHCHON KE LASHEY DEKH KE MAAEN BHI MAR GAYI
RAMLA YE PUCHTI THI SAKINA SE QAID ME X2
ZAKHMI HAI KAAN BALIYAN BIBI KIDHAR GAYI
BAAZAR LEKE JAO NA BEPARDA ZALIMON X2
MAR JAENGI HUSSAIN KI BEHNE AGAR GAYI
38
AY SHIA YUN IMSHAB
SHAAME GHARIBAANAST
JISME HUSSAIN URYAAN
UNDAR BAYABANAST
DAR KERBALA IMSHAB
ZAARIYO AFGHAANAST
JISME ALI AKBER UNDER BIYABANAST
BAA HAALATE MAHZUN
CHUN NAASHAAHA DARKHUN
BAR SHAHIDAN UNHA
HAS CHASHME GIRYAANAST
CHUN ZAYNABE MAHZUN
BAA DIDAA-E-GIRYAAN
GUFAT BIRAADAR JAAN
MAA BIKASO YAARIM
KHATME RASUL AAYAD
BAA JUMLA-E-HAMRAAHAN
AZ KATLE FARZANDASH
GIRYA NO NAALAANAST
ZAAKIR DAN UN MAJLIS
SIDDIQA-E-KUBRAST
AZ DAAGE FARZANDASH
BAA KALBE SUZAANAST
AALE RASUL IMSHAB
RU-E-ZAMIN KHAABAND
ZAINUL IBAAD YAZ TAB
DAR AAHO AFGHAANAST
39
SHAAME GHAM AAGAYI, SHAME GHAM AAGAYI…X4
KYA RAHA KHAYMO ME SHEH KE EK UDASI REH GAYI X3
SIRF RONE KO MUHAMMAD KI NAWASI REHGAYI
SAJ GAI KASIM KO TUKRO SE UDHAR KARBOBALA X3
MAA IDHAR BETE KI DULHAN SSO SAJAATI REHGAYI
CHHINTA THA SHIMR CHADAR OR ZAINAB BAAR BAAR X3
APNI CHADAR KE MUHAFIZ KO BULAATI REHGAYI
KHUNE DIL ABBAS KA SAB BEHGAY RAN ME MAGAR X3
DIL ME BAS EK BAAT ZAINAB KI RIDA KI REHGAYI
AY MUSALMANO TUMHARI GAIRATO KYA HOGAYI X3
TUM TAMASHAI THE ZAINAB MUH CHUPATI REHGAYI
QAID ME BAALI SAKINA KO MILA BABA KA SAR X3
MUH PE MUH RAKH KAR JO SOI MAA JAGAATI REHGAYI
MADARE ASGHAR NA BAITHI SAAYE ME ASGAR KE BAAD X3
SAAYE ME AAYI TO ZINDA LAASH BAKI REHGAYI
HAR TAMACHE PAR SAKINA MU PAR RAKHKAR
NANHE HAATH X3
NEEL RUKHSARO KE GAZI KO DIKHAATI REHGAYI
40
SHAME GHURBAT ME, BACHI PUKAARI
BABA WAARI, ME WAARI ME WAARI
BABA AAWO MADAD KO HAMAARI
BABA WAARI ME WAARI ME WAARI
JABSE AMMU GAY HAI NA AAYE (X2)
KOI DARYA PE JAAKAR BATAAYE (X2)
RO RAHI HAI BHATIJI TUMHAARI
AB TO BABA QAYAMAT HAI AAYI (X2)
EK TAZA MUSIBAR HEI AAYI (X2)
LOOT NE AAGAYE HAI YE NAARI
KAID KARNE KO BHAI KE AAYA (X2)
SHIMR DURRAA BHI HAI SAATH LAAYA (X2)
TAUK AUR BERIYAA BHI HAI BHAARI
GHAM BE HARE K TARAF SE HAI GHERA (X2)
CHAAGAYAA HAI BHAYAANAK ANDHERA (X2)
KYA KARE BABA DUKH KI YE MAARI
SHIMR NE MERE MAARE TAMAACHE (X2)
KAAN ZAKHMI HAI RUKSAAR NILE (X2)
BABA AAWO MADAD KO HAMAARI
AB TO AANKHE BHI PATHRAA GAYI HAI (X2)
AB TO BEHNE BHI GHABRAA GAYI HAI (X2)
RAAH TAKTI HU KABSE TUMHAARI
HAL KYA HO BAYAAN DUKH ZADAA KA (X2)
KOI NASIR NA THA GHAM ZADAA KA (X2)
BABA BABA SAKINA PUKAARI

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *