KUCH AISA KARDE MERE KIRDIGAR ANKHON MEIN NAAT LYRICS

 

 

KUCH AESA KARDE MERE KIRDIGAAR AANKHON ME IN TAZMEEN

Tadap Hai Dil Me To Hai Intizaar Aankhon Mein,
Ye Shauk e Deed Rahe Baar Baar Aankhon Mein,
Karar Aaye Meri Bekarar Aankhon Mein,
KUCH AESA KARDE MERE KIRDIGAAR AANKHON MEIN,
HUMESHA NAKSH RAHE ROO-E-YAAR AANKHON MEIN.

Chupe Hai Jurm Meri Sharmsaar Aankhon Mein,
Saza Ka Khauf Hai In Ashq Baar Aankhon Mein,
Andhera Chaa Ne Laga Baar Baar Aankhon Mein,
WO NOOR DE MERE PARWARDIGAR AANKHON MEIN,
KE JALWAGAR RAHE RUKH KI BAHAR AANKHON MEIN.

Sada Nawaza Hai Mujh Ko Tere Tasawwur Ne,
Simat Diye Hai Sabhi Faasle Tasawwur Ne,
Haseen Jalwa Dikhaya Mujhe Tasawwur Ne,
KARAM YE MUJH PE KIYA HAI MERE TASAWWUR NE,
KE AAJ KHICH DI TASWEER E YAAR AANKHON MEIN.

Nazar Na Aaye To BeNoor Si Hai Ye Aankhen,
Dikhayi De To Badi Keemti Hai Ye Aankhen,
Nazare Saare Agar Kar Chuki Hai Ye Aankhen,
UNHE NA DEKHA TO KIS KAAM KI HAI YE AANKHEN,
KE DEKH NE KI HAI SAARI BAHAR AANKHON MEIN.

Lahad Me Jis Gadi SARKAR ? Ki Ziyarat Ho,
Zubaan Pe Naat Ke Ash’aar Hasbe Aadat Ho,
Waha Jawab Me Ye Sher Pese Khidmat Ho,
FARISHTON PUCH TE HO MUJH SE KIS KI UMMAT HO,
LO DEKH LO YE HAI TASWEER E YAAR AANKHON MEIN.

Wafa Ki Raah Me Aesi Kabhi Dagar Aaye,
Mere Naseeb Me Khaak e Kadam Agar Aaye,
Maloo Gubaar To Aankhon Me Ye Asar Aaye,
AJAB NAHI KE LIKHA LOH KA NAZAR AAYE,
JO NAKSHE PAA KA LAGALU GUBAAR AANKHON MEIN.

Tufail Peer Ata Jaam Ho Mujhe Saaqi,
Tamam Umar Nasha Jaam Ka Rahe Baaki,
Machal Ke Ishq Me Nagma Sunae Ye RAZVI,
PIYA HAI JAAM E MOHABBAT JO AAP NE NOORI,
HUMESHA IS KA RAHEGA KHUMAAR AANKHON MEIN.

 

 

KUCH AISA KAR DE MERE KIRDGAAR AANKHO ME NAAT LYRICS

 

 

Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me
Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho me

Wo Noor De Mere Parwardigar Aankhon Me
Ki Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me

Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko
Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankho me

Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe
Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho me

Nazar me Kaise samayenge phool Jannat ke
Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho me

Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye
Jo Naqshe Paa ka laga’o Ghubaar Aankho me

Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi
Ke Us Nigaar ka he intizaar Aankho me

Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz
Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho me

Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu
Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankho me

Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho me Na Aajaye
Ke Phir Rahaa hai kisi ka Mazaar Aankho me

Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne
Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho me

Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho
Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankho me

Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he
Me jis ka banda hoo he Noor Baar Aankho me

Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI
Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankho me

Fir Aayen Din Mere “AKHTAR” Shabe Huzuri Me,
Karam Se Jalwa Kare Jab Nigaar Aankhon Me.

Nigah E Mufti E Aazam Ki Hai Yeh Jalwahgiri,
Chamak Rahe Hai Jo “AKHTAR” Hazaar Aankhon Me.

 

 

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *