Kaun Kahta Hai Aankhain Chura Kar Chale Naat Lyrics

Kaun Kahta Hai Aankhain Chura Kar Chale Naat Lyrics

Kaun Kahta Hai Aankhain Chura Kar Chale
Kab Kisi Se Nigahe Bacha Kar Chale
 
Kaun Unse Nigahe Ladaa Kar Chale
Kiski Taqat Hai Jo Aankhain Milaa Kar Chale
 
Wo Hansi Kya Jo Fitne Uthaa Kar Chale
Haan Hansi Tum Jo Fitne Mitaa Kar Chale
 
Rabb Ke Bando Ko Rab Se Milaa Kar Chale
Jalwa E Haq Wo Humko Dikhaa Kar Chale
 
Jagmagaa Dale Galiyan Jidhar Aaye Woh
Jab Chale Wo To Kooche Basaa Kar Chale
 
Koi Maane Na Maane Ye Wo Jaan Le
Seedha Raasta Wo Sabko Bataa Kar Chale
 
Badd Se Badd Ko Liye Jisne Agosh Mein
Kab Kisi Se Wo Daaman Bachaa Kar Chale
 
Jo Kameene The Unko Muaz-zaz Kiya
Woh Razilo Ko Seene Lagaa Kar Chale
 
Jism Par Noor Ka Yu To Sayaa Na Tha
Aur Path-thar Me Nakshe Jamaa Kar Chale
 
Marte Dam Sar Dar E Paak Par Rakh Diya
Is Ada Se Kaza Ham Adaa Kar Chale
 
Kisi Jaanib Se Aayi Nida E Huzoor
Mujrimo Ki Rihayi Ka Kya Kar Chale
 
Daagh E Dil Humne Noori Dikha Hi Diya
Dard E Dil Ka Fasana Suna Kar Chale