Karbala Noha Lyrics

 

 

Khaak Ka Farsh Ridaa Gard Tawakkal Takyaa
Uf Bhi Karta Nahi Qaamosh Hai Sone Waala
Naza Me Dekha Raza Ne Jo Shabhi-E- Zehraa
Band Aankhen Huwin Aur Qaatema Bilqair Huwa

Aik Hichki Ka Bas Aana Tha Ke Dam Tod Gaye
Mominoun Keliye Yaad Apni Raza Chowd Gaye

Aake Yasrab See Taqi Dekhthe Hain Kya Naqsha
Band Aankhen Kiye Behosh Pade Hain Baba
Sar Ko Baba Ke Utha Zaanu Pa Apne Rakha
Roke Chillane Lage Kya Ye Huwa Hai Abatha

Kab Se Chillatha Hai Sar Peet Ke Nalaane Taqi
Aankhoun Ke Kholo Zara Aap Ke Qurbaan Taqi

Baap Ka Pursa Do Betoun Ko Tum Aye Ahl -E- Azaa
Jisko Mamoon Ne Khilwaaya Hai Angoor-E- Daghaa
Neelgoon Hogaya Hai Jism-E- Mubarak Jiskaa
Jiski Mayyath Pa Nahi Koi Bhi Rone Waala

Be Pidar Hogaye Masmoom Taqi Waawaelaa
Haae Bejaan Huwa Kaazim Ka Wasi Waawaelaa

Aaj Imaam- E- Raza Shaheed Huwe
Aaj Imaam-E- Raza Shaheed Huwe
Shaah-E- Har Dosaraa Shaheed Huwe
Sah Ke Ranj-O- Balaa Shaheed Huwe
Khaake Zehre Daghaa Shaheed Huwe

Shah Ke Sab Ghulaam Rote Hain
Ham Se Ruqsath Imaam Hote Hain

Tha Jo Maamoon Rasheed Baaniye Shar
Dushman-E- Qaandaan-E- Paighambar
Tha Jo Aamaadah Zaher Dene Par
Shaah Ko Phir Talab Kiya Aaqar

Su Ke Shaah-E- Anaam Ghar Se Chale
Hoke Ruqsath Imaam Ghar Se Chale

Jab Nazar Aai Qabr-E- Paighambar
Hilgaya Sene Me Dil-E- Muztar
Jaake Lipte Lahad Se Phir Sarwar
Aur Kiya Ye Qitaab Roro Kar

Aik Lahza Na Chain Paaya Hhoon
Ruqsathe Aaqri Ko Aaya Hoon

Kynke Ruqsath Juwe Imaam-E- Raza
Tha Madine Me Tahalka Barpa
Koi Qadimoun Se Lipta Jaatha Tha
Aur Laboun Par Kisi Ke Thi Ye Sadaa

Aye Shah-E- Ausiyaa Qudaa Haafiz
Aye Imaam-E- Raza Qudaa Haafiz

Tay Manaazil Ko Karke Phir Ek Baar
Aaye Darbaar Me Shah-E- Abraar
Uthaa Taazeem-E- Shah Ko Wo Makkaar
Paas Apne Bithaa Liya Zinhaar

Tab Kaha Shaah Se Ye Wo Maghroor
Aap Iswaqt Khaaiye Angoor

Jabr Se Us Laeen Ke Waawaelaa
Khaa Ke Angoor Ko Uthe Moulaa
Poocha Mamoon Ne Chale Kisjaa
Kaha Hazrath Ne Too Jahaan Bhejaa

Kah Ke Ye Shaah Qaas-O- Aam Chale
Sar Pa Daale Abaa Iaam Chale

Page 105 Of 137

Ghar Me Aakar Tadap Rahe The Imaam
Zaher Ne Kar Chuka Tha Apna Kaam
Qai Jo Aai Liyaa Jigar To Thaam
Tha Na Ek Lahza Na Aap Ko Aaraam

Yaas Thi Bekasi Thi Ghurbath Thi
Mere Moula Pa Kya Musibath Thi

Muztarib Tha Bahut Shah-E- Zeejaah
Ghash Jo Taari Huwaa Imaam Pap Aah
Hichki Jo Aai Mout Ki Naagaah
Phir Kahaa Laa Ilaaha Ilaaallah

Tan Se Rooh-E- Raza Idhar Nikli
Qabr Se Faatema Udhar Nikli

Rehaai Ahl-E-Haram
Qaid Se Chut Ke Aai Hai Zainab
Qaid Se Chut Ke Aai Hai Zainab
Sadme Dil Par Uthaai Hai Zainab
Qabr Shah Ki Banaai Hai Zainab
Kuch Yathimoun Ko Laai Hai Zainab

Kahthi Hai Roke Lo Qabar Bhaai
Qatm Ab Hogaya Safar Bhaai

Main Hoon Zainab Falak Sathaai Hoon
Tumse Milne Yahaan Mai Aai Hoon
Aur Lute Qaafele Ko Laai Hoon
Bhaai Kya Kya Sitam Uthaai Hoon

Shaam Tak Nange Sar Gayi Zainab
Kyun Na Pahle Hi Mar Gayi Zainab

Uth Ke Dekho To Ek Nazar Bhaai
Tukde Sadmoun Se Hai Jigar Bhaai
Hogaya Hai Sufaid Sar Bhaai
Jhuk Gayi Hai Meri Kamar Bhaai

Waada Poora Mai Kar Ke Aai Hoon
Pusht Par Taaziyaane Khaai Hoon

Saare Kunbe Ko Saath Laai Thi
Mehnathoun Se Ye Ghar Basaai Thi
Mai Ne Doulat Ye Maa Se Paai Thi
Hogayi Dafn Jo Kamaai Thi

Ab Ho Kyun Kar Meri Basar Bhaai
Haae Kis Mu Se Jaaun Ghar Bhaai

Ab Na Uth Ke Yahaan Se Jaaungi
Qabr Baaloun Se Apne Jhaadoongi
Phool Har Subha Mai Chadhaaungi
Shama Raathoun Ko Mai Jalaaungi

Yun Hi Ho Jaaegi Basar Bhaai
Kya Kare Jeeke Nouha Gar Bhaai

Gar Koi Pooche Kis Ki Jaai Hai
Qabr Kis Ki Ye Too Banaai Hai
Mujh Ko Qismath Kahoongi Laai Hai
Mai Bahan Hoon Ye Mera Bhaai Hai

The Nabi Ke Ye Maan-Ne Waale
Aur Musalmaan The Maarne Waale

Kya Bathaaun Shaheed Ki Haalath
Than Tha Zaqmi Thi Dhoop Ki Shiddath
Aur Namaazi Pa Pyaas Ki Shiddat
Sar Uthaane Ki Bhi Na Di Mohlat

Dafn Is Jaa Hai Naamhar Bhaai
De Diya Raah-E- Haq Me Sar Bhaai

Thi Muqaddar Me Mere Ruswaai
Kyun Na Darbaar Hi Me Mout Aai
Paish-E-Haakim Gayi Ye Dukhpaai
Ghussa Aaya Tha Pee Gayi Bhaai

Jo Huwe Zulm Sah Gayi Zainab
Sab Ke Rone Ko Rah Gayi Zainab

Page 106 Of 137

Chehlum 72 Shohda-E-Karbala
Balaa Utthaakay Harum Karbala Mey Aathay Hai
Balaa Utthaakay Haram Karbala Mey Aathey Hain
Mareez Shaam Kay Daarushafaa Mey Aathey Hain
Ajab Shikosey Dasht-E Balaa Mey Aathey Hain
Gham-E Hussain Mey Yaad-E Khuda Mey Aathey Hain

Jigar Kay Tukdey Bharey Daamanou Mey Aaye Hain
Yeh Qabr-E Sheh Par Chaddhaaney Ko Phool Laaye Hain

Bihaar Mey Hain Raqam Yeh Rivaayath-E Jaankar
Jab Aaye Ahley Haram Jaanib-E Shahaadath Gaah
Na Gul Na Shamma Mili Beykasoun Ki Qabr Pa Aah
Mujaaveri Ko Faqath Jabir Ibney Abdullah

Qureshi Aaye Hain Aur Haashmi Bhi Haazir Hain
Musaaferoun Kay Mujaaver Bhi Sab Musaafir Hain

Doh Shaamiyaaney Hain Baala-E Qabr-E Sibtey Rasool
Woh Ek Rehmath-E Haq Ek Aur Aahey Batool
Falak Sey Hoor-O Malak Ka Hai Fouj Fouj Nazool
Ziyarath-E Shahey Mazloom Kar Rahey Hain Husool

Lahadh Sey Akbar-O Asghar Kay Daagh Roushan Hain
Mazaar Ek Hai Par Doh Charaagh Roushan Hain

Idhar Aayaan Huvi Bas Zainab-E Khoojistha Khisaal
Udhar Lahadh Mey Tadapney Lagaa Rasool Ka Laal
Nida Mazaar Sey Jaabir Ko Di Ba Ranj-O Malaal
My Jeetha Hotha Toh Kartha Bahen Ka Isteqbaal

Sharaf Hai Fatema Ka Fatema Ki Jaayi Ko
Meri Tarf Sey Tu Jaa Uski Peishwaayi Ko

Chalaa Mayeh Rufaqaah Jaabir Khoojistha Nihaadh
Sar-E Hussain Liye Haathoun Par Milay Sajjad
Qadam Pa Gir Padhaa Jaabir Ba Naala-O Faryaad
Pukaari Abid-E Beykas Ko Zainab-E Naashaad

Galeh Lagaao Muhib-E Nabi Yeh Jaabir Hai
Yeh Turbath-E Shahey Mazloom Ka Mujaaver Hai

Galeh Lagaa Liya Jaabir Ko Shaahey Waala Ney
Galeh Pa Neel Rasan Kay Dikhaaye Aaqaa Ney
Kahaa Kay Loot Liya Bhaai Humko Aadaa Ney
Jo Hum Pah Hogaya Hum Jaaney Ya Khuda Jaaney

Sar-E Hussain Badee Mehnathoun Sey Laaya Hoon
Dubaarah Baap Ko My Dafn Karney Aaya Hoon

Taneh Hussain Sey Mulhaq Kiya Hussain Ka Sar
Huva Zameen Mey Goyaa Qiraan-E Shams-O Qamar
Lahadh Pa Taqtha-E Toobaah Qareenay Sey Rakh Kar
Pukaarey Abid-E Beykas Muhibboh Aao Idhar

Suno Bagoush Kay Is Dum Rasool Rothay Hain
Dubaarah Dafn Merey Babajaan Hothey Hain

Page 107 Of 137

Yeh Kehkay Roney Lagey Haaye Abid-E Beemaar
Mazaar-E Shaahey Ghareebaan Jo Ho Chukaa Taiyaar
Sarhaaney Bhait-Kay Sab Faateha Paddhey Ek Baar
Gharazz Kay Khaima-E Jaabir Mey Aaye Sab Deendaar

Haram Ney Qabr Pa Saamaan-E Ashko Aah Kiya
Sar-E Mazaar Bapaa Khaimaa-E Siyaah Kiya

Siyaah Khaimey Mey Uthrey Siyaah Poush Haram
Tawaaf-E Qabr Kiya Halqaa Baandh Kar Baaham
Sabhoun Ney Qabr Ko Baaloun Sey Jhaada Jab Usdam
Larazz Larazz Gayi Sadhmey Sey Qabr-E Shaahey Umam

Lahadh Pa Shah Ki Masnadh Bichaayi Zainab Ney
Salaam Kay Liye Gardhan Jhukaayi Zainab Ney

Lipatt Kay Qabr Sey Aawaaz Di Duhaayi Hai
Ek Arbayeen Sey Bahen Bhaai Mey Judaai Hai
Hussain Bhaai Bahen Bhooki Pyaasi Aayi Hai
Ummeedwaar-E Ziyafath Yeh Amma Jaayi Hai

Na Farsh Hai Na Makaan Hai Na Daana Paani Hai
Saqee Kay Laal Yehi Meri Mehmaani Hai

Bhaiyya My Bin Tumhaarey Watan Ko Na Jaaoongi
Bhayya My Bin Tumhaarey Watan Ko Na Jaaoongi
Bhayya Yahin My Qabr Par Aansoo Bahaaoongi
Naaloun Sey Aasmaano Zameen Ko Hilaaoongi
Nazrey Hussain Pyaasoun Ko Paani Pilaaoongi

Jo Poochegaa Tu Roti Hai Kyon Shor-O Shain Sey
Kehdoongi Chutt Gayi Hoon My Bhaai Hussain Sey

Sajjad Rokay Karthay They Zainab Sey Yeh Suqan
Chaliyeh Phupi Khuda Kya Liye Ab Su-Ey Watan
Ro Ro Kay Jaan Doh Na Yahaan Behray Zaulmeinan
Hona Hai Qaid Tumko Dobaara Basadh Mehaan

Rauzey Pah Naana Jaan Kay Ab Jaakay Roye-Ye
Durrou Kay Zaqm Pushth Pa Dikhlaakay Roye-Ye

Yeh Sunkay Utthi Qabr Sey Aakhir Woh Soghvaar
Ek Haudajeh Siyaah Mey Aakar Huvi Sawaar
Pahoonchey Watan Mey Jis Ghadi Sajjad -E Dilfigaar
Pehlay Gayi Baqiyeh Mey Zehra Ki Gul-E Zaar

Boli Lipat Kay Qabr Sey Amma Duhaayi Hai
Bhaai Ko Khokay Zainab-E Naashaad Aayi Hai

Amma Sunaoon Tumko Mai Joh Kuch Jafaa Huvi
Pardes Mey Hussain Sey Zainab Judaa Huvi
Chowthey Baras Mey Baap Pah Beti Fidaa Huvi
Amma Hussain Margaye My Be-Ridaa Huvi

Dil Zindagi Sey Zainab-E Muztar Ka Hatt Gaya
My Dekhti Rahi Sar-E Shabbir Katt Gaya

Amma Tumhaarey Laal Ko Kya Kya Na Gham Huvey
Laashey Kay Haath Angoti Ki Qaatir Qalam Huvey
Laashey Pah Merey Bhaayi Kay Taaza Sitam Huvey
Paamaal Laash Hogayi Barbaad Hum Huvey

Gowhar Sakina Kay Bhi Uthaarey Hain Shimr Ney
Durrey Hamaari Pushth Pa Maarey Hain Shimr Ney

Amma Teray Mareez Ko Qaidi Banaaya Tha
Touq-E Giraan Bukhaar Mey Usko Pinhaaya Tha
Kaatoun Pa Nangey Paaon Addo Ney Phiraaya Tha
Amma Sivaa-E Shukr Nahin Labb Hilaya Tha

Bulwaaya Tha Yazeed Ney Darbaar-E Aam Mey
Amma Sakina Margayi Zindaan-E Shaam Mey

Page 108 Of 137

Aye Amma Ek Rassi Mey Bandhwaaya Tha Hamey
Oontoun Ki Nangi Pushth Pa Bittlaaya Tha Hamey
Sar Tashth Mey Hussain Ka Dikhlaaya Tha Hamey
Abid Ko Durrey Maar Kay Rulwaaya Tha Hamey

Hairath Hai Kyon Na Zainab-E Naashaad Margayi
Amma My Sar Khuley Huve Shireen Kay Ghar Gayi

Amma Phiraakey Kufey Mey Phir Humko Ku Bakoo
Sar Nangey Suey Shaam Hamey Ley Chaley Adoo
Pahoonchey Jo Shaher-E Shaam Mey Hum Sab Kushaada Mu
Baazariyon Mey Shor Yeh Hotha Tha Chaar Su

Beti Ali Ki Zainab-E Dilgeer Aayi Hai
Dekho Chalo Hussain Ki Humsheer Aayi Hai

Chahlum Jo Karbala Me Bahattar Ka Ho Chuka
Chahlum Jo Karbala Me Bahattar Ka Ho Chuka
Palwand Baikasounke Tan-O- Sar Ka Ho Chuka
Aur Faateha Hussain Ke Lashkar Ka Ho Chuka
Qabroun Pa Shour Aal-E- Payambar Ka Ho Chuka

Maatam Me Teen Roz Rahe Shour-O- Shain Se
Roe Lipat Lipat Ke Mazaare-E-E Hussain Se

Misle Charaagh Gour-E- Gharibaan Pa Dil Jalaae
Phooloun Ke Saath Qabroun Pe Laqt-E- Jigar Chadhaae
Pyaaroun Ki Burd-O- Baash Ke Saaman Jo Yaad Aaye
Be Saaqtha Pukaari Kaleja Pakad Ke Haae

Hae Hae Wo Parda Daar Hamaare Kidhar Gaye
Be Parda Hoke Aale Nabi Dar Badar Gaye

Maqtal Ke Aas Paas Ye Bewoun Ki Thi Fughaan
Zainab Jabeen Lahad Pa Dhare Karthi Thi Bayaan
Aye Mere Karbalaai Baradar Hussain Jaan
Hamsheer Teen Din Se Tumhaari Hai Mehmaan

Allah Meri Baat Bhi Poochi Na Aap Ne
Zindaan Ki Waaredaat Bhi Poochi Na Aap Ne

Raazinhoon Hoon Jorazaa-E- Imaam-E- Jaleel Hai
Par Qaabil-E- Mulaaheza Baazu Ka Neel Hai
Ne Koi Daad Rasan Na Koi Kafeel Hai
Bhaai Baqair Aap Ki Zainab Zaleel Hai

Pusht-O- Panaah Uth Gaya Be Qaanamaan Huwi
Dekho Ye Pusht Qaabil-E- Noke Sinaan Huwi

Marjaaen Sab Yatimoun Ke Sar Par Rahoon Jo Mai
Bachpan Me Unki Qald Ki Eizaa Sahoon To Mai
Bahlaane Ko Tumhaari Kahaani Kahoon To Mai
Maa Hoon To Mai Phupi Hoon To Mai Baap Hoon To Mai

Inka Bhi Daagh Aaj Mile Yake Kal Mile
Aise Nai Naseeb Ke Qidmath Ka Phal Mile

Main Jaanthi Thi Shahr Basa Hoga Bhaai Ka
Hoga Hhujoom Qabr Pa Saari Qudaai Ka
Chahlum Karoongi Dhoom Se Mai Karbalaai Ka
Pursaan Bh Yaa Nahi Koi Zenra Ki Jaai Ka

Mu Dhaanpne Ko Aap Hi Palla Bhi Leti Hoon
Aur Apne Dil Ko Aap I Pursa Bhi Deti Hoon

Chehlum Tho Kar Chuki Mai Dilafgaar Yaa Hussain
Ab Rouza Kis Tarha Se Ho Tayyar Yaa Hussain
Beta Bhi Aur Bahan Bhi Hai Naadar Yaa Hussain
Aaqer Kabhi Tho Aaenge Zawwar Yaa Hussain

Takya Hai Kaar Saziye Parwardigaar Par
Isdam Tho Saaebaan Bhi Nahi Hai Mazaar Par

Page 109 Of 137

Hone Laga Sawaar Rasaala Basheer Ka
Danka Bajaa Haram Ke Waidaa-E- Aqeer Ka
Qaima Uthaa Lahed Se Shah-E- Mashraqain Ka
Aur Sab Tabarrukaath Jaab-E- Ameer Ka

Turbath Ke Gird Oont Barabar Kahde Huwe
Ruqsath Ko Jama Qabr Pa Chowte Bade Huwe

Zainab Pukaari Kooch Ka Saamaan Hogaya
Phir Shahr Mere Bhaai Ka Veeraan Hogaya
Aur Maqberaa Hussain Ka Sunsaan Hogaya
Hoo Ka Maqaam Qatl Ka Maidaan Hogaya

Aai Musaafiroun Ko Mere Wo Zameen Pasand
Dunya Me Jis Zameen Ko Basthi Nahin Pasand

Aye Karbalaa-E- Sarwar-E- Dilgeer Alweda
Aye Qatlgaah-E- Hazrath-E- Shabbir Alweda
Aye Qabr-E- Ibn-E- Saaheb-E- Tath-Heer Alweda
Aye Bhaai Jaan Jaathi Hai Hamsheer Alweda

Kya Be Naseeb Hai Ye Nawaasi Rasool Ki
Tum Ne Mujaaweri Na Hamaari Qubool Ki

Bhayya Utho Kajaawe Me Mujh Ko Tumhi Bithaao
Bhayya Main Be Naqaab Hoon Rahgiroun Ko Hataao
Rowkkahin Qinath Akbar-O- Abbas Ko Bulaao
Qaali Hai Goud Bhaabhi Ki Asghar Ko Lete Aao

Sardaar Saare Qaafele Ke Aage Hote Hain
Tayyar Kaarwaan Huwa Aur Aap Sote Hain

Kab Se Tumhain Pukaar Rahi Hoon Mai Qastha Jaan
Hae Hae Jawaab Bhi Nahi Dete Shah-E- Zaman
Bhayya Gale Lagaaloon Tho Jaaun Soe Watan
Aal Nida Sidhaaro Quda Haafiz Aye Bahan

Soghra Ko Meri Simth Se Bhi Pyaar Kihiye
Hoga Sawaab Qaatir-E- Beemaar Kijiye

Wapasi -E- Ahl-E-Haram
Jab Baad-E- Dafn-E- Shaah Watan Ko Haram Chale
Jab Baad-E- Dafn-E- Shaah Watan Ko Haram Chale
Sajjad Saath Bewoun Ke Baa Chashme Nam Chale
Hamraah Leke Qaafela-E- Ranj-O- Gham Chale
Zainab Pukaari Peet Ke Sar Bhaai Ham Chale

Ulfath Jo Thi Kamaale Shah-E- Mashraqain Se
Roi Lipat Lipat Ke Mazaar-E- Hussain Se

Phir Sar Ko Rakh Ke Qabr Pa Wo Gham Ki Mubtelaa
Boli Ke Assalaam Alaikaa Aye Shah-E- Hudaa
Bhayya Utho Sawaar Karo Tum Pa Amai Fidaa
Farmaaiye Watan Me Mai Jaakar Karoongi Kyaa

Rah Rah Ke Dhyaan Aatha Hai Mujh Dil Malool Ko
Kya Jaake Mu Dikhaaungi Qabre Rasool Ko

Bhayya Mai Bin Tumhaare Watan Ko Na Jaaungi
Bhayya Yahin Main Qabr Pa Aansu Bhahaaungi
Naaloun Se Aasmaan-O- Zameen Ko Hilaaungi
Nazr-E- Hussain Pyaasoun Ko Paani Pilaaungi

Jo Poochega Too Roti Hai Kyun Shour-O- Shain Se
Kahdoongi Chut Gayi Hoon Mai Bhaai Hussain Se

Sajjad Roke Karthe The Zainab Se Ye Suqan
Chaliye Phupi Qudaa Kiliye Ab Soo-E- Watan
Roro Ke Jaan Do Na Yahaan Bahr-E- Zulmenan
Hona Hai Qaid Tum Ko Dobaara Basad Mehan

Rouze Pa Nana Jaan Ke Ab Jaake Roiye
Durroun Ke Zaqm Pusht Ke Dikhlaake Roiye

Page 110 Of 137

Ye Sunke Utthi Qabr Se Aaqir Wo Sugwaa R
Ek Hodije Siyaah Me Aakar Huwe Sawaar
Pahonche Watan Me Jis Ghadi Sajjad -E- Dilfigaar
Pahle Gayi Baqee Me Zehra Ki Gul-Ezaar

Boli Lipat Ke Qabr Se Amma Duhaai Hai
Bhaai Ko Khoke Zainab-E- Naashaad Aai Hai

Amma Sunaaun Tum Ko Mai Jo Kuch Jafaa Huwi
Pardes Me Hussain Se Zainab Juda Huwi
Chouthe Baras Me Baap Pa Beti Fidaa Huwi
Amman Hussain Margaye Mai Beridaa Huwi

Dil Zindagi Se Zainab-E- Muztar Ka Hat Gaya
Mai Dekhthi Rahi Sar-E- Shabbir Kat Gaya

Amma Tumhaare Laal Ko Kya Kya Na Gham Huwe
Laashe Ke Haath Angothi Ki Qaatir Qalam Huwe
Laashe Pa Mere Bhaai Ke Taaza Sitam Huwe
Paamaal Laash Hogayi Barbaad Ham Huwe

Gouhar Sakina Ke Bhi Utaare Hai Shimr Ne
Durre Hamaari Pusht Pa Maare Hain Shimr Ne

Amman Tere Mareez Ko Qaidi Banayaa Tha
Touq-E- Giraan Buqaar Me Usko Pinhaaya Tha
Kaantoun Pa Nange Paaun Adoo Ne Phiraaya Tha
Amma Siwaa-E- Shukr Nahi Lab Hilaaya Tha

Bulwaaya Tha Yazeed Ne Darbaar-E- Aam Me
Amma Sakina Margayi Zindaan-E- Shaam Me

Aye Amma Aik Rassi Me Bandhwaaya Tha Hamen
Oontoun Ki Nangi Pusht Pa Bithlaaya Tha Hamen
Sar Tasht Me Hussain Ka Dikhlaaya Tha Hamen
Aabed Ko Durre Maarke Dilwaaya Tha Hamen

Hairath Hai Kyun Na Zainab-E- Naashaad Mar Gayi
Amma Mai Sar Khule Huwe Sheerin Ke Ghar Gayi

Amma Phiraake Koofe Me Phir Ham Ko Kuba Ko
Sar Nange Soo-E- Shaam Hamain Le Chale Adoo
Pahonche Jo Shehr-E- Shaam Me Ham Sab Kushaada Mu
Baazaariyoun Me Shour Ye Hotaa Tha Chaar Su

Beti Ali Ki Zainab-E- Dilgeer Aai Hai
Dekho Chalo Hussain Ki Hamsheer Aai Hai

Durood Padh Ke Watan Ko Chala Hussain Ka Laai
Durood Padh Ke Watan Ko Chala Hussain Ka Laai
Qareeb Pahonchi Madine Ke Jab Rasool Ki Aal
To Apne Haathoun Pe Zainab Ne Rakhe Sar Ke Baal
Kaha Madine Se Kulsoom Ne Ba Ranj-O- Malaai

Lutaa Ke Aaye Hain Zehra Ke Sab Gharaane Ko
Na Kar Qubool Too Ham Bekasoun Ke Aane Ko

Madina Ham Tere Waali Ko Aaye Hain Khokar
Madina Gardan-E- Shabbir Par Chala Qanjar
Madina Koofe Me Sar Nange Ham Phire Dar Dar
Madina Daaghe Rasan Hai Hamaare Shaanoun Par

Ham Aaye Zinda Pa Zehra Ka Noor-E- Ain Nahi
Madina Akbar-O- Qasim Nahi Hussain Nahi

Page 111 Of 137

Hilii Zameen Madine Ki Usghadi Paiham
Kiya Basheer Ko Sajjad Ne Talab Us Dam
Gale Me Shaal-E- Daaldi Ba Deeda-E- Nam
Aur Uske Haath Me Rokar Diya Siyaah Alam

Kahaa Ke Jaa Nahi Go Apne Mu Dikhaane Ki
Magar Watan Me Qabar Karde Mere Aane Ki

Chala Basheer Ye Dete Huwa Qabar Har Jaa
Magar Muhalla-E- Haasim Me Dekhta Hai Kya
Ke Ek Mariza Sare Raah Hai Khadi Tanha
Jo Poocha Naam To Ro Ke Boli Wo Sughra

Bashir Kahne Laga Kyun Too Shour-O- Shain Me Hai
Kaha Ye Haal Mera Furqath-E- Hussain Me Hai

Basheer Samjha Ye Bint-E- Hussain Hai Sughra
Qamoosh Rah Gaya Sughra Ke Mu Pe Kuch Na Kaha
Pukaari Faatema Gardan Me Dekh Shaal-E- Azaa
Tu Bhaai Laaya Hai Kis Ki Sunaani Mujh Ko Sunaa

Wo Bola Qaasid-E- Beemaar-E- Karbala Hoon Mai
Sunaani Qabr-E- Payambar Pe Le Chala Hoon Mai

Wo Boli Roroke Bhaai Ye Kya Sunaata Hai
Wo Koun Hai Jise Beemar Too Bathaatha Hai
Sunaani Kis Hai Ye Mujh Ko Huwi Aata Hai
Ke Mustafa Ki Lahad Se Too Kahne Jaatha Hai

Ammama Phaink Ke Usne Kaha Duhaai Hai
Tere Hussain Ki Sughra Sunaani Aai Hai

Zameen Pa Haae Pidar Kahke Gir Padi Sughra
Qabar Ye Phalli To Maatam Har Ek Ghar Me Huwa
Tamaam Aurtain Niklin Gharoun Se Karthi Bukaa
Nabi Ki Qabr Pa Jaakar Basheer Ne Ye Kahaa

Safar Se Lut Ke Idhar Bhooki Pyaasiyaan Aai
Utho Rasool Tumhaari Nawaasiyaan Aai

Bashir Kahtha Hai Wallah Rouza Kaanp Gaya
Lahad Se Naala Huwa Waa Hussain Ka Paida
Idhar Zameen Pe Tadapthi Thi Faatema Sughra
Zanaan-E- Haashmiya Ne Wahaan Hujoom Kiya

Hilaa Ke Shaana Kaha Shaah-E- Mashraqain Aaye
Utho Hussain Ke Ashiq Utho Hussain Aaye

Wapasi -E- Ahl-E-Baith
Watan Me Qaafela-E- Karbala Ki Aamad Hai
Watan Me Qaafela-E- Karbala Ki Aamad Hai
Sawaariye Haram-E- Mustafa Ki Aamad Hai
Yateem Sarwar-E- Gulgoon Qabaa Ki Aamad Hai
Ghareeb-O- Bekas-O- Aashna Ki Aamada Hai

Tamaam Shaher Hai Shalq-E- Ali Ke Pyaaroun Ka
Nabi Ke Rouze Pa Majma Hai Dost Daaroun Ke

Sunaa Tha Jab Se Ke Aathe Hain Syed-E- Akram
Qushi Se Faatema Sughra Ka Tha Ajab Aalam
Kabhi To Jhukthi Thi Sajde Me Wo Badeeda-E- Nam
Kabhi Ye Kahthi Thi Kyun Naani Jaan Kigaye Ham

Watanme Aaj Shah-E- Mashraqain Aathe Hain
Chalo Chalo Mere Baba Hussain Aathe Hain

Uthin Ye Kahthe Hi Ummul Banain Ba Shouq Tamaam
Gayi Jo Muttasil-E- Rouza-E- Rasool-E- Anaam
Suna Ye Shour Ke Lo Aaye Shaah-E- Arsh Maqaam
Nazar Wo Aatha Hai Ddekho Nishaaan -E- Fouj-E- Imaam

Bade Shikwe Se Hyder Ka Yaadgaar Aaya
Alam Liye Huwe Abbas-E- Naamdaar Aaya

Page 112 Of 137

Ye Nouha Padhtha Tha Ghowde Ke Aage Aage Basheer
Madina Lut Gaya Jangal Me Margaye Shabbir
Gale Pa Dilbar-E- Zehra Ke Chal Gayi Shamsheer
Kiya Shaheed Ghareebul Watan Ko Be Taqseer

Pada Raha Jo Zameen Par Ye Uska Jaama Hai
Kafan Mila Na Jise Uske Ye Amaama Hai

Bitha Ke Naaqe Ko Sajjad-E- Naatawaan Utre
Asaa Ko Thaam Ke Baa Chasm Qoon Fishaan Utre
Qareeb-E- Marqad-E- Sultaane Ins-O- Jaan Utre
Aur Ahl-E- Baith Ye Karthe Huwe Fughaan Utre

Huwi Ghareenboun Pe Bedaad Ya Rasool Allah
Hussain Margaye Faryaad Ya Rasool Allah

Huwi Jo Rouze Me Daaqil Wo Qaafela Naagaah
Gire Mazaar-E Mubaarak Pe Aabed-E- Zeejaah
Uthaa Ke Haath Ye Faryaad Ki Ba Naala-O- Aah
Tabaahi Aagayi Ham Bekasoun Pa Yaa Jaddaah

Yateem Hoke Ye Naashaad Kaam Aaya Hai
Pidar Ko Khokde Watan Me Ghulaam Aaya Hai

Bada Sitam Kiya Ummat Ne Ya Rasool -E- Zaman
Kiya Huzoor Ke Pyaaroun Ko Zibha Tishna Dahan
Raha Sinaan Pe Sar-E- Paak Aur Zameen Pe Badan
Lute Ham Aise Ke Baba Ko De Sake Na Kafan

Na Din Ko Thi Hamain Raahat Na Chain Raathoun Ko
Jakad Diya Tha Rasan Se Hamaare Haathoun Ko

Gayi Lahad Pa Phir Istarha Zainab-E- Mahzoon
Ke Aik Haath Me Shah Ka Amaama-E- Pur Qhoon
Aur Aik Haath Me Hazrat Ka Haama-E- Gulgoon
Zabaan Pe Marsia Jis Ka Ye Jaan Gaza Mazmoon

Yazeed Ne Hamain Loota Duhaai Hai Nana
Baha Shaheed Ke Mujre Ko Aai Hai Nana

Hussain Bhaai Ko Ham Karbala Me Chowd Aaye
Ali Ke Laal Ko Dashth-E- Bala Me Chowd Aaye
Yateem-E Faatema Ko Nainawa Me Chowd Aaye
Tumhaare Chand Ko Khaak-E- Shifa Me Chowd Aaye

Ye Baad Qatl Ajab Tafreqaa Pada Nana
Gada Badan Kahin Aur Sar Kahin Gada Nana

Huwi Hussain Ke Marne Se Dar Badar Zainab
Gayi Yazeed Ki Mahlis Me Nange Sar Zainab
Kai Mahine Rahi Qaid Nouhagar Zainab
Ye Saqt Jaan Thi Ke Jeethi Phiri Idhar Zainab

Waram Hai Shaanoun Pe Dukhthe Hain Ustoqaan Nana
Ye Mere Baazu Pe Rassi Ke Hain Nashaan Nana

Jab Zaaereen-E- Shaah Ghareebul Watan Phire
Jab Zaaereen-E- Shaah Ghareebul Watan Phire
Yaani Sooe Watan Haram-E- Panjetan Phire
Ek Daste Tohfa Leke Nishaane Haram Phire
Ghul Tha Ke Ahl-E-Baith-E- Hussain Aur Hassan Phire

Sattar Do Tan Ko Zair-E- Zameen Sounp Aaye Hain
Kuch Surre Qaake-E- Paak Ke Hamraah Laaye Hain

Naagaah Guzar Qaafele Ka Shaher Me Huwa
Aur Lashkar-E- Basheer Me Naqqaara Bhi Bajaa
Awaaz Taiz Gaami-E- Aspan Huwi Bapaa
Hamsaaiyoun Ko Faatema Sughra Ne Di Sadaa

Logo Sawaari Aathi Hai Kis Baadshaah Ki
Sab Ne Kahaa Ke Sibt-E- Risaalath Panaah Ki

Itne Me Umme Haaniya Usdam Falak Wiqaar
Sar Par Qazaa Ba Paaun Me Mouze Bhi Aashkaar
Ummul Baneen Ke Saath Wahaan Aai Aik Baar
Sughra Ne Poocha Ab To Na Hoga Tumhain Buqaar

Ghul Hai Ke Zainab Aathi Hai Shabbir Aathe Hain
Chalthi Ho Tum Bhi Hum Tho Unhain Lene Jaathe Hain

Page 113 Of 137

Wo Boli Paishwaai Ko Moujood Hoon Magar
Hai Qasd Chup Rahoon Kisi Goushe Me Baith Kar
Akbar Talaash Me Phirain Aawaaz Dain Pidar
Asghar Bhi Ghutniyoun Mujhe Dhoonde Idhar Udhar

Jab Sab Kahen Ke Margayi Chut-Te Hi Aap Se
Hansthi Huwi Main Aake Lipat Jaaun Baap Se

Ek Martaba Saroun Pe Pade Mard-O- Zan Ke Haath
Jaana Sabhoun Ne Qatl Huwe Shaah-E- Naik Zaath
Sughra Ne Poocha Daadi Ye Kiski Hai Waaredaath
Ye Gouj To Gayi Thi Na Mere Pidar Ke Saath

Hae Hae Musaaferoun Pa Mere Kya Guzar Gayi
Poocho To Unse Fouj-E- Hussaini Kidhar Gayi

Aaqir Na Rah Saki Sooe Lashkar Ye Di Nidaa
Tum Karala Me Taaza Mulaazim Huwe Ho Kya
Akbar Ke Paae Naam Hai Tum Logoun Ka Paraa
Baare Kaho Gurohe Hussainin Kahaa Rahaa

Batlaao Momino Hoon Mai Pyaari Hussain Ki
Ab Kitni Door Hogi Sawaari Hussain Ki

Naaghaah Aaya Syedoun Ka Ghoul Nange Sar
Daamaan-E- Sabz Kurtoun Ke The Chaak Sar Basar
Aage Alam Liye Huwe Ek Tifl-E- Be Pidar
Maatam Ke Neel Chaand Se Seene Pe Jalwagar

Mashkeeza-E- Sakina Alam Me Bandha Huwa
Ek Teer Usme Behre Gawaahi Laga Huwa

Zair-E- Nishaan Padhthe The Nouha Har Ek Qadam
Maatam Hussain Pyaase Ka Karthe The Dam Badam
Gham Se Larazne Lagtha Tha Jab Panja-E-Alam
Badhthe The Aage Saahebo Maatam Ba Chashme Nam

Faaregh Jo Maatam-E- Shah-E- Waala Se Hote Hai
Phir Kahke Haae Hazrathe Abbas Rote The

Ummul Baneen Ne Naam Jo Abbas Ka Suna
Aankhoun Se Noor Seene Se Dil Hogaya Juda
Sughra Ko Umme Salma Ki Aaghosh Me Diya
Boli Mai Badh Ke Poochoon To Ye Maajra Hai Kya

Aqlab Hai Unse Sibt-E- Nabi Ki Qabar Mile
Kis Ke Yateem Aathe Hain Paa Nange Sar Khule

Ye Kahke Chand Gaam Badhi Wo Basad Bukaa
Kaandhe Pe Jis Yateem Ke Wo Hai Alam Dharaa
Hairath Se Us Ghareeb Ka Mu Dekha Khoob Saa
Beenaai Jaa Chuki Thi Na Pahchaana Mutlaqaa

Poocha Ke Ye Nishaan Tujhe Kab Ataa Huwa
Aye Haamil-E- Alam Mera Abbas Kya Huwa

Page 114 Of 137

Beqarari Fatima Sughra A. S
Jab Shaah Ko Safar Me Bahoth Din Guzaar Gaye
Jab Shaah Ko Safar Me Bahoth Din Guzaar Gaye
Soghra Ko Gham Huwa Ke Musaafir Kidhar Gaye
Kahthi Thi Ghar Bhara Huwa Veeraan Kar Gaye
Kya Jaane Kis Taraf Mere Bekas Pidar Gaye

Hai Shouq Dil Me Sibt-E- Payambar Ki Deed Ka
Kya Wajha Hai Ke Qat Nahi Aaya Rasheed Ka

Pardesiyoun Ke Gham Me Hai Jeene Se Mujh Ko Paas
Bistar Pe Mu Lapete Padi Rahthi Hoon Udaas
Baba Safar Se Aaenge Jab Tak Na Mere Paas
Tab Tak Badan Se Mai Na Utaaroongi Ye Libaas

Jeethi Rahi To Visl-E- Imaam-E- Zaman Huwa
Aur Mar Gayi To Bas Yahi Kurtha Kafan Huwa

Aathi Nahi Hai Kuch Qabr-E- Syedul Anaam
Basthi Kahaan Basaai Kiya Kis Jagaah Maqaam
Kyun Naani Jaan Aaap To Sunthi Thi Wo Kalaam
Ruqsath Ke Waqt Mujh Se Jo Farmaathe The Imaam

Kahthe The Khat Bhi Aaega Akbar Bhi Aaenge
Soghra Na Rowo Ham Tumhen Jaldi Bulaaenge

Dekho Ke Khat Na Aaya Na Akbar Wahaan Se Aae
Kuch Jaadesaa Pada Shah-E- Deen Par Safar Me Haae
Kis Se Kahoon Jo Sibt-E- Nabi Ki Qabar Ko Jaae
Allah Mere Baap Ko Jaldi Watan Me Laae

Sunthi Hoon Dost Kam Hain Shah-E Mashraqain Ke
Dushman Bahot Hain Faatema Ke Noor-E- Ain Ke

Maango Dua Ke Sibt-E- Payambar Ki Qair Ho
Abbas-O- Qaasim-O- Ali Akbar Ki Qair Ho
Ashnoun Ki Qair Ho Meri Maadar Ki Qair Ho
Garmi Ka Hai Safar Ali Asghar Ki Qair Ho

Amma Ko Uska Doodh Badhaana Naseeb Ho
Phir Ghar Meleke Qair Se Aana Naseeb Ho

Ye Kahke Mu Ko Dhaanp Ke Roi Wo Nouhagar
Kurta Tamaam Hone Laga Aansuoun Se Tar
Naani Dilaasa Dene Lagi Paas Aankar
Qurbaan Jaaun Roti Ho Kyun Dhyaan Hai Kidhar

Veeraan Karenge Shaher Ko Jangal Basaaenge
Ab Kya Quda Na Qaastha Hazrath Na Aaenge

Charcha Huwa Ye Shehr-E- Madina Me Jaa Bajaa
Soghra Se Aake Maadar-E- Abbas Ne Kahaa
Zaanu Pe Sar Jhukaae Huwe Ro Rahi Ho Kyaa
Shabbir Aaye Shukr Ka Sajda Karo Adaa

Naake Pe Fouj Tahri Hai Waari Hussain Ki
Aathi Hai Koi Dam Me Sawaari Hussain Ki

Naani Ne Tab Ye Aake Kaha Hoke Shaad Shaad
Soghra Tumhen Na Tha Mere Kahne Ka Etemaad
Mai Kahthi Thi Ke Aathe Hai Ab Shaah-E- Qush Nehaad
Poori Quda Ne Ki Jo Mere Dil Ki Thi Muraad

Dekhoongi Aaj Baap Ko Maadar Ko Bhaai Ko
Lo Kapde Ab Badal Lo Chalo Paishwaai Ko

Wo Boli Mere Dil Me Hai Kuch Aur Hi Qayaal
Jab Tak Na Ghar Me Aaega Qairun-Nisaa Ka Laal
Kapde Na Badloongi Na Mai Goondoongi Sar Ke Baal
Aane Do Unko Jin Ke Liye Hai Ye Mera Laal

Shikwa Karoongi Aankhounse Aansu Bahaaungi
Baba Ko Ye Phataa Huwa Kurta Dikhaaungi

Page 115 Of 137

Ye Kahke Godh Me Liya Beemaar Ko Uthaa
Aur Ruq Kiya Sooe Lahad-E- Paak-E- Mustafa
Nazdeek Jab Gaye To Ye Ghul Yak Bayak Huwa
Aaya Hai Be Hussain Ke Beemaar-E- Karbala

Maatam Karo Habeeb-E- Quda Ke Habeeb Ka
Sar Kat Gaya Baddan Se Hussain-E- Ghareeb Ka

Kah Kar Ye Baath Ghar Se Chali Duqtar -E- Anaam
Naani Bhi Saath Ogayi Jaldi Asaa Ko Thaam
Dekha Har Ek Taraf Ko Hai Qilqat Ka Ashdhaam
Kahne Lagi Ye Maadar-E- Abbas-E- Naik Naam

Mujh Ko To Hai Yaqeen Ke Ab Ghar Na Aaenge
Shabbir Pahle Qabr-E- Payambar Pe Jaaenge

Aye Saakinaane Shehre Madina Udaao Khaak
Kardaalo Aah Apne Garebaan Chaak Chaak
Shabbir Teen Din Ka Hai Pyaasa Huwa Halaak
Chaaliswain Talak Raha Be Gour Hism-E- Paak

Paaoge Phir Na Faatema Ke Noor-E- Ain Ko
Ham Karbala Me Dafn Kar Aae Hussain Ko

Musafiroun Ki Madiney Mey Jab Raseed Aayi
Musafiroun Ki Madiney Mey Jab Raseed Aayi
Kay Waadagaah Mey Fouj-E Shahey Sayeed Aayi
Raseed Aathey Hi Soghra Ke Ghar Mey Eid Aayi
Taphay Gohan Gayee Aur Taaqath-E Jadeed Aayi

Malaal Door Huwa Aiysh Ke Qareenay Sey
Bukhaar Nabz Sey Gham Dil Sey Dard Seenay Sey

Gharazz Kay Hazrath-E Ummul Baneen Ko Bulwaaya
Woh Aayeen Toh Sar-E Tasleem Utt Ke Nahudaaya
Woh Hans Ke Boli Ke Kyon Yaad Mujhko Farmaaya
Kaha Mareez Ney Khush Hokay Sheh Ka Qath Aaya

Hamaarey Dil Ko Faqath Naamabarr Ney Chaen Diya
Mohammed-E Hanafi Ko Qath-E Hussain Diya

Yeh Kehkay Maadar-E Abbas Ko Liye Humraah
Mohammed-E Hanafi Kay Ghar Aayi Dukhtar-E Shah
Woh Muntazir They Liye Naama-E Shahey Zeejaah
Salaam Karthey Hi Kehnay Lagay Ba Naala-O Aah

Lo Ab Sunaao Imaam-E Ghareeb Ka Naama
Padho Mareez Kay Aagay Tabeeb Ka Naama

Mohammed-E Hanafi Ney Kiya Lifaafey Ko Waah
Nikaala Suqqahey Pur Noor Syed-Ush Shohadaa
Padhaa Jo Naamay Mey Alqaab Apna Rokay Kahaa
Hussain Teray Karam Par Hain Laakh Jaan Sey Fidaa

Kahaa My Tera Baraadar Bajaan Baraabar Hoon
Tu Jaan-E Qatm-E Rasool Hai Mai Ibne Hyder Hoon

Aqhi Ka Lafz Jo Alqaab Mey Meray Likhaa
Faqath Yeh Bandhaa Nawaazi Hai Ya Imam -E Huda
Tera Ghulaam Hai Abbas My Ghulaam Uska
Hazaar Haif Qadam Sey Huzoor Kay Hoon Judaa

Liya Jo Naam-E Judaai Toh Aansoo Behnay Lagay
Salaam Paddh Kay Alaikas-Salam Kehney Lagay

Kaha Yeh Fatima Sughra Sey Tabh Ba Deeda-E Tarr
Likha Hai Baap Ney Tumko Kay Aye Meri Dukhtar
Dua Kay Baad Ho Maaloom Meri Noor-E Nazar
Koyi Ghadi Nahin Ghaafil Teri Taraf Sey Pidar

Qalaq Hai Sadhmaa Hai Ranj-O Malaal Hai Sughra
Adoo Kay Narghey Mey Zehra Ka Laal Hai Sughra

Page 116 Of 137

Wofoor-E Fikr Sey Sughra Jo Saqth Ghabraayi
Chacha Ka Apney Qalamdaan Woh Utthaa Laayi
Aur Iltemaas Kiya Aye Hussain Kay Bhaai
Mujhey Toh Hai Na Tawaanaayi Aur Na Beenaayi

Meri Taraf Sey Woh Alqaab Likho Baba Ko
Kaneezein Likhthi Hain Jis Tarhaa Apney Aaqa Ko

Ghareeb Parwar-O Aalam Nawaaz Woh Khalq-E Panaah
Maalik Sipaah Falak Baargah-E Shaahinshah
Imam Beyka-O Mazloom-O Beydayaaro Tabaah
Khaleel-E Kaaba-E Deen Yousuf-E Rasoolallah

Ajal Raseedoun Key Eesa Ghareeboun Kay Waali
Hussain Ibne Ali Mudhazalla-O Aali

Rajab Ki Teesri Ko Tumey Ghar Kiya Veeraan
Tumhaarey Baad Huveen Teen Eidein Babajaan
Shab-E Baraath Huvi Doosrey Mahiney Ayaan
Baroohey Hamza Na Thi Faateha Ki Taab -O Tawaan

Tamaam Aah Tadaptay Tadaptay Raat Huvi
Hamaarey Ghar Mey Na Eid-E Shab-E Baraat Huvi

Woh Eid Toh Gayee Din Eid-E Fitr Ka Aaya
Ghar Aankar Mujhey Humjoliyoun Ney Rulwaaya
Kisiney Gehnaa Kisiney Libaas Dikhlaaya
Koyi Yeh Beli Kay Eidee Mey Humney Yeh Paaya

Har Ek Khush Tha Magar Mere Lab Pa Naalay They
Safar Mey Sab Meri Eidee Kay Deney Waaley They

Nazar Mey Phirthaa Hai Eid-E Guzishthaa Ka Aana
Woh Eidgaah Mey Akbar Ka Dhoom Sey Jaana
Bahen Ke Waasthey Mevey Khareedkar Laana
Woh Amma Baano Ka Har Dum Galey Sey Liptaana

Ba Jabr Ab Toh Baghalgeer Jis Sey Hothi Hoon
Bahen Sakina Ko Mai Yaad Karkay Rothi Hoon

Shahzadi Zainab A.S
Azeezo Zainab- E- Muztar Ka Aaj Maatam Hai
Azeezo Zainab-E- Muztar Ka Aaj Maatam Hai
Azeezo Zainab-E- Hyder Ka Aaj Maatam Hai
Ali Ki Laadli Duqtar Ka Aaj Maatam Hai
Ghareeb Shaah Ki Qwhaaher Ka Aaj Maatam Hai

Sukoon Qalb-E- Quda Ke Habeeb Ko Deeje
Bahen Ka Pursa Hussain-E- Ghareeb Ko Deeje

Dobaara Qaid Huwe Jab Syed-E- Sajjad
Aseer Karthe Huwe Shaam Le Chale Jallad
Rawaana Saath Huwi Haae Zainab-E- Naashaad
Nabi Ke Rouza-E- Aqdas Pe Jaake Ki Faryaad

Shaheed Hogaya Bhaai Hussain Aye Na Na
Magar Nahi Hai Laeenoun Ko Chain Aye Nana

Phir Aaj Aabed-E- Bepar Ke Saath Jaathi Hoon
Yazeed-E- Nahes Ko Qouf-E- Qudaa Dilaathi Hoon
Quda Ne Chaha Tho Is Laal Ko Chudhaathi Hoon
Hayaath Baaqi Agar Hai To Waapas Aathi Hoon

Jo Aae Raah-E- Haq Me Mout Aaiye Nana
Hamaari Laash Pe Aansu Bahaaiye Nana

Page 117 Of 137

Ye Sun Ke Uth Gayi Jo Faatema Ke Rouze Par
Lipat Ke Qabr Se Kahne Lagi Ye Qastha Jigar
Utho Utho Meri Amma Ke Aal Hae Duqtar
Aseer Hogaya Phir Mera Aabed-E- Muztar

Tamaam Ghar Ko Ujaada Magar Na Chain Aaya
Dobaara Syed-E- Sajjad Par Sitam Dhaaya

Phiiraa Chuke The Sitamgaar Dar Badar Amma
Dikhaaya Naize Pe Bhaai Ka Mujh Ko Sar Amma
Madina Bhejaa Tha Ghar Baar Loot Kar Amma
Phir Aaj Jota Hai Veeraan Saara Ghar Amma

Chale Hain Qaid Me Phir Zainul Aabedeen Hae Hae
Rahegi Chain Se Kya Zainab-E- Hazeen Hae Hae

Sadaa-E- Nouha-E- Zehra Lahed Se Aane Lagi
Kisi Nabi Ne Bhi Aisi Jafaa Nahi Dekhi
Nisaar Maa Teri Maasoomiyath Pe Aye Beti
Tadap Rahi Hoon Mai Meri Dard Ki Maari

Mai Saath Chalti Hoon Aye Jaan-E- Zainab-E- Muztar
Ye Bilbilaana Tera Qurbaan Zainab-E- Muztar

Suna Jawaab Tera Haae Ashkbaar Huwi
Qaraar Aatha Na Tha Aur Beqaraar Huwi
Badan Laraztha Tha Naaqe Pe Jab Sawaar Huwi
Hazaar Abt Se Ruqsath Jigar Figaar Huwi

Pukaari Jaathi Hoon Ruqsat Karo Qudaa Haafiz
Miloongi Raaj Me Kis Jaa Kaho Qudaa Haafiz

Rawaana Hogayi Phir Sooe Shaam Waawaila
Qamoosh Rote The Chowthe Imaam Waawaila
Laeen Rawaana Huwe Taiz Gaam Waawaela
Azeez Karthe The Maatam Tamaam Waawaela

Likha Hai Raah Me Ek Manzil-E- Qareeb Aai
Butool Zaadi Ki Hae Hae Qazaa Qareeeb Aai

Nazar Qoozaadi Ki Naagaah Us Shajar Pe Padi
Ke Usne Dekha Tha Farq-E- Hussain Ibn-E- Ali
Tadap Ke Haae Hussaina Kaha Zamin Pe Giri
Uthi Sambhal Ke To Faryaad Us Shajar Se Ye Ki

Kahaan Hai Bhaai Mera Aye Shajar Bataa Jaldi
Hussain Keliye Roti Hoon Khaak Udaa Too Bhi

Kaleja Aagaya Mu Ko Tadap Raha Tha Jigar
Ziyaarathe Shah-E- Karbobala Padhi Rokar
Namaaz Padhne Lagi Phir Qareeb-E- Zair-E- Shajar
Abhi Uthaaya Na Tha Haae Haae Sajde Se Sar

Sitam Se Balicha Ibn-E- Tameem Ne Maara
Lahoo Musalle Pe Bekas Ka Bah Gaya Saara

Ali Ki Tarha Se Zainab Ka Sar Do Neem Huwa
Zameen Laraz Gayi Arsh-E- Azeem Kaanp Gaya
Suni Zamaane Ne Garyaad-E- Syedush Shohda
Pukaarne Lagi Aakar Mazaar See Zehra

Ghareeb Sognasheen Beqataa Ko Qatl Kiya
Shaqi Ne Duqtar-E- Mushkil Kusha Ko Qatl Kiya

Lahoo Se Ashk Bahaathe Hain Aabed-E- Bepar
Kafan Phupi Ko Pinhaathe Hain Aabed-E- Bepar
Qalaq Se Jaan Gawaanthe Hain Aabed -E- Bepar
Lahed Phupi Ki Banaathe Hain Aabed -E- Bepar

Nageen Hai Arsh Pe Gham Gaatema Ki Beti Ka
Janaaza Uth-Tha Hai Mushkilkusha Ki Beti Ka

Page 118 Of 137

Tifli Hi Se Zainab Pe Musibath Huwi Kya Kya
Zainab Pa Huva Khaatema Har Ranj-O Balaa Ka
Maatam Kiya Pehlay Toh Rasool-E Doh Saraa Ka
Phir Gham Huva Darpesh Batool-E Uzara Ka
Dekha Sar-E Aaloodh Ba-Khoon Sher-E Khuda Ka

Woh Khasthaa Jigar Shabbar-E Dilgeer Ko Roye
Phir Baad-E Hasan Hazrath-E Shabbir Ko Roye

Tifli Hi Se Zainab Pe Musibath Huwi Kya Kya
Nana Ke Liye Roi Kiya Maatam-E- Zehra
Aur Mohsin-E- Masoom Ki Bhi Laashey Ko Dekha
Ye Daagh Na Bhooli Thi Ke Zaqmi Huwa Baba

Tukde Jigar-E- Syed-E- Masoom Ko Dekha
Phir Taigh Ke Neeche Shah-E- Mazloom Ko Dekha

Paamal Use Paikar-E- Qasim Nazar Aaya
Zainab Hi Ne Kubra Ko Bhi Rand Saala Pinhaaya
Aththaara Baras Waale Ka Bhi Daagh Uthaaya
Aur Laasha-E- Asghar Ko Bhi Chaathi Se Lagaya

Dil Tukde Huwa Qatl-E- Imaam-E- Madani Se
Sooraaq Pade Pusht Me Naize Ki Ani Se

Al Qissa Kay Zainab Ko Sadaa Bhaai Ki Thi Yaad
Tha Dushman-E- Aabid Jo Yazeed-E- Sitam Eejaad
Guzri Ye Qabar Usko Ke Kya Baittha Hai Dilshaad
Ijmaah Hai Shiyoun Ke Pa-Ye Yaari-E Sajjad

Waaris Hai Wo Teigh-E Kamar Shair-E- Quda Ka
Ab Tujh Se Iwaz Leyga Woh Khoon-E- Shohada Ka

Moujood Hoon Haazir Hoon Mai Qaidi Hoon Tu Mhaara
Lekin Mujhe Batlaao Ye Tum Jald Qudaara
Zainab Ko To Ab Qaid Karoge Na Dobaara
Moujood Hai Wo Bhi Nahi Kuch Zour Hamaara

Gar Kaam Nahi Is Se To Kah Do Ye Qushi Se
Mill Aaun Mae Hamsheer-E- Hussain Ibn-E-Ali Se

Aada Ne Kaha Jaao Pa Jald Aaiyo Baahar
Aabid Gaye Pahne Huwe Aah Ye Zalwar
Baaqer Tho Gire Haae Pidar Kahke Zameen Par
Zainab Ne Lipat Kar Ye Kaha Kya Huwa Dilbar

Naachaar Hain Kuch Zour Hamaara Nahin Pyaare
Durra Tho Kisi Ne Tumhe Maara Nahi Pyaare

Jab Manziley Aafath Ki Wo Thay Keen Saher-E- Shaam
Pahoncha Wo Giraftaar-E- Balaa Muttasil-E- Shaam
Ek Baagh Me Shab Baash Huwa Aabid-E- Naakaam
Wo Raath Thi Zainab Ke Liye Mauth Ka Paighaam

Allah Se Kahne Lagi Haath Apne Uthaa Kar
Kya Shaam Ke Balwe Ko Mai Phir Dekhoongi Jaa Kar

Ye Sunkay Diya Hukm Shaqi Ney Sar-E Darbaar
Abid Ko Giraftaar Karein Jaakay Kuch Aswaar
Zanjeer Bhi Aur Tauq Bhi Bhaari Saa Ho Tayyaar
Lo Ab Qisaas-E Shohadaa Ka Hai Talabgaar

Kis Baath Pah Magroor Woh Ibne Shahey Deen Hai
Kya Pehli Aseeri Ka Mazaa Yaad Nahin Hai

Baazu Mey Rasan Baandhi Thi Aur Paaun Mey Zanjeer
Abid Yehi Kehthey They Kay Kya Hai Meri Taqseer
Woh Kehthey They Yaan Poocho Na Aye Naaeb-E Shabbir
Ab Shaam Mey Ho Jaayegi Jo Honi Hai Taqdeer

Abid Ney Kaha Khair Chalo Darr Mujhey Kya Hai
Mazloom Ka Farzand Toh Raazi Ba Riza Hai

Page 119 Of 137

Abid Ka Sukhan Koyi Bhi Khaatir Mey Na Laaya
Naaqey Pa Usi Shakl Sey Beykas Ko Bitthaaya
Aur Rokay Zann-O Mard Ney Ek Shor Machaaya
Naagah Yeh Ek Shaqs Ney Abid Ko Sunaaya

Kya Baittey Ho Naaqey Pa Zaraa Dekho Udhar Ko
Hamsheer-E Hussain Aathi Hai Kholey Huvey Sar Ko

Yaa Rab Mujhe Us Shaher Ko Ab Too Na Dikhaana
Sar Nange Phir Us Mulk Me Mujh Ko Na Phiraana
Hai Yaad Mujhe Shaam Ka Wo Ranj Uthaana
Hamraah Sar Shah Ke Huwa Tha Mera Aana

Ab Paish-E- Nazar Bhai Ki Tasveer Nahi Hai
Aayi Hoon My Tanha Sar-E- Shabbir Nahi Hai

Ya Baar-E- Quda Waastha Shaahe Madani Ka
Sadqa Pisar-E- Fatima Ki Be Kafani Ka
Aur Waastha Aabed Ki Ghareebul Watani Ka
Sadqa Shah-E- Mazloom Ki Tishna Dahani Ka

Zainab Taraf-E- Shaam Yahaan Se Na Rawaan Ho
Kal Subha Mulaaqaat-E- Imaam-E- Do Jahaan Ho

Us Raath Ko Zainab Rahin Mashghool -E- Munaajaat
Nagaah Saher-E Kooch Numaayaan Huwi Hai Haat
Sajjad Ne Zainab Se Ye Ro Ro Ke Kahi Baat
Lo Bhaai Se Tum Apne Karo Aaj Mulaaqaat

Kis Dard Se Kal Aap Thee Mashghool-E- Duaa Me
Maqbool Duaa Hogayi Dargaah-E- Qudaa Me

Zainab Ne Kaha Aaya Yaqeen Ab Mujhe Betaa
Par Mouth Ke Aasaar Tho Ab Tak Nahi Paidaa
Ab Aage Ye Hai Mughbir-E- Aqbaar Ne Likhaa
Is Baagh Me Badkhaah Hai Ek Aal-E- Nabi Kaa

Tha Baagh Me Parqaar-E- Gulistaan-E- Jafaa Tha
Gulshan Ki Rawish Bailche Se Khod Rahaa Tha

Haal Us Ne Suna Aamad-E- Zainab Ka Jo Saaraa
Zainab Ke Qareeb Aaya Wo Be Raham Qazaara
Us Zulm Ke Kahne Ka Zabaan Ko Nahi Yaaraa
Bas Pusht Pe Zainab Ke Wahi Bailcha Maara

Zainab Ne Kaha Hogaya Saamaan Qazaa Ka
Mushkil Meri Aasaan Huwi Shukr Quda Ka

Ghurbat Me Kis Ne Ki Hai Rifaaqat Hussain Ki
Ghurbat Me Kis Ne Ki Hai Rifaaqat Hussain Ki
Sab Se Siwa Hai Kis Ko Hujjat Hussain Ki
Kis Ki Nazarme Farz Hai Taa-Et Hussain Ki
Takmeel Kis Se Paai Shahaadat Hussain Ki

Hai Koun Yaadgaar Ali-O- Butool Ki
Wo Koun Zi Sharaf Hai Nawasi Rasool Ki

Zehra Ke Baad Kou Hain Maqdooma-E- Jahaan
Baba Hai Kis Ka Shair-E- Quda Faqr-E- Mursalaan
Dunya Me Kis Ke Sabr Ke Qaael Hai Ins -O- Jaan
Maadar Hia Kis Ki Kashtiye Ummath Ka Baadbaan

Maryam Se Kis Ka Martaba Aalaa Hai Qalq Me
Mashhoor Kou N Saaniye Zehra Hai Qalq Me

Nana Ko Roi Baap Ko Roi Wo Ziwiqaar
Maatam Kiya Butool Ka Baa Chasm Ashkbaar
Mohsin Ki Laash Dekh Ke Dil Hogaya Fighaar
Barsoun Rahi Musibath-E- Shabbar Me Sougwaar

Bachpan Se Shugi Usko Raha Shour-O- Shain Ka
Aaqir Ko Dekha Zaib-E- Sinaan Sar Hussai N Ka

Page 120 Of 137

Pursa Ajeeb Zainab-E- Naashaad Ko Mila
Shabbir Qatl Hoote Hi Qaima Jalaa Diya
Sar Utaari Shimr Ne Maasooma Ki Rida
Baazi Jar Aol Bobo La Rassi Me Bandh Gaya

Balwe Me Laae Bint-E- Shah-E- Mashraqain Ko
Dil Bhar Ke Rone Paai Na Zainab Hussain Ko

Baba Ko Roye Bacche Tho Zainab Unhen Manaaye
Saamjha Ke Apni Goud Me Shab Ko Unhen Sulaaye
Salli Kisi Yateem Ko Aakar Koi Lagaaye
Ye Dekh Kar Qamoosh Ho Shikwa Na Lab Pe Laaye

Bhaai Ke Sar Ke Saath Rahi Ashdahaam Me
Sar Nange Jaae Kooncha-O Baazaar-E- Shaam Me

Kuch Din Rahi Watan Me Jo Zehra Ki Yaadgaar
Par Thi Bahot Hussain Se Milne Ko Be Qaraar
Tha Dushman-E- Imaam Yazeed-E- Sitam Sheyaar
Aabed Huwe Jo Qald Dobaara Ba Haal-E- Zaar

Mumkin Na Tha Ke Mu Rahe Ulfath Me Moud Ke
Zainab Rahe Watan Me Bhatije Ko Chowd Ke

Zindaan Se Chut Ke Aai Jo Zainab Soo-E- Watan
Roti Thi Jaake Rouze Pe Qastha Than
Gah Faatema Ki Qabr Pe Karthi Thi Ye Suqan
Bardaad Karbala Me Huwa Aap Ka Chaman

Shikwa Na Qaid Ka Tha Na Baazaar-E- Shaam Ka
Tha Zikr Bas Hussain Alaihis Salaam Ka

Pahonchi Qareeb Shaam Ke Jis Waqt Qush Nehaad
Aane Lagi Ziyaadah Shah-E- Bekafan Ki Yaad
Ek Raat Aai Jis Me Ke Dil Ki Mili Muraad
Mishdaah Ajal Ka Qaab Tha Sunkar Thi Shad Shad

Thi Garche Uske Dil Ko Qushi Inteqaal Ki
Par Fikr Thi To Aabed-E Bargastha Haal Ki

Guzri Wo Raath Subhe Shahaadat Huwi Ayaan
Jis Baagh Me Huwa Tha Faro Kash Ye Kaarwaan
Dushman Nabi Ki Aal Ka Tha Us Ka Baaghbaan
Zair-E Shajar Jo Roti Thi Shah Ko Wo Neem Jaan

Aisa Sitam Kiya Ke Na Phir Shah Ke Ro Saki
Yun Bailche Se Maara Ke Jaanbar Na Ho Saki

Sajjad Jab Dobaara Aseer-E Jafaa Huvey
Sajjad Jab Dobaara Aseer-E Jafaa Huvey
Zanjeer Aur Touq Mey Phir Mubtelaa Huvey
Roohey Rasool-E Paak Ko Sadmey Siwaa Huvey
Dard-O-Alam Batool Ko La Intehaa Huvey

Ghul Tha Kay Phir Madiney Ki Basti Ujaddti Hai
Gardan Mey Touq Paaon Mey Zanjeer Padti Hai

Likha Hai Jin Dinou Yeh Huva Zulm Aashkaar
Ghar Mey Bahut Aleel Thi Zainab Jigarfigaar
Pahunchi Khabar Jo Qaid Ki Abid Kay Ek Baar
Utthi Asaa Ko Thaam Kay Ba Chashmey Ashkbaar

Aazaa-E Jismey Paak Baham Kaampney Lagey
Aaye Jo Dar Talakh Toh Qadam Kaampney Lagey

Roye Phupi Ko Dekh Kay Abid Ba Haaley Zaar
Itney Mey Hukm Paakay Chali Fouj-E Naabakaar
Aagey Toh Qaid Jaatey They Sajjad-E Naamdaar
Thaa Unkay Peechey Naaqa-E Zainab Jigarfigaar

Utta Tha Dil Mey Dard Qadam Thar Tharaathey They
Mehmil Ko Dekh Dekh Kay Aansu Bahaatey They

Page 121 Of 137

Jab Sab Isi Tarhaa Sey Huveen Manzil-E Tamaam
Sehra Milaa Tab Ek Qareeb-E Dayaarey Shaam
Din Chupp Gaya Namood Huvi Shaam Teerafaam
Us Din Rayees-E Shaam Ne Sab Sey Kiye Kalaam

Uttro Yaheen Kay Raahat-E Aab-O Taam Ho
Behtar Yeh Hai Kay Shab Ko Isi Ja Muqaam Ho

Yeh Baat Sunkay Tham Gayi Sab Fouj -E Naabakaar
Kamrey Khuley Utar Padey Ghodoun Sey Sab Sawaar
Bistar Lagey Bapaa Huvey Khaimey Phir Ek Baar
Ghul Chaar Su Huva Kay Aseeron Sey Hoshiyaar

In Ki Taraf Sey Khauff Hamein Bey Sabab Nahin
Shakhjoon Girey Agar Toh Kuch Iska Ajab Nahin

Al Qissa Jis Ghadi Kay Numaayaan Huvi Saher
Lashkar Huva Yazeed Ka Aamaada-E Safar
Utthi Wazu Ko Khwaahar-E Sultan-E Behrobarr
Fizza Ney Jaanemaaz Bichaayi Bachashmey Tarr

Ekka Ek Dum Malool Siwaa Huvi Jaati Theen
Zainab Namaaz Paddti Thi Aur Roti Jaati Theen

Faariq Huveen Dua Sey Jo Zainab Ba Chashmey Tarr
Fizza Ko Tabh Bulaa Kay Yeh Boli Woh Nauhagar
Yaan Sey Bahut Qareeb Hai Sunti Hoon Woh Shajar
Khooli Ney Jis Darakht Mey Baandha Tha Sheh Ka Sar

Ley Chal Wahaan Pey Fatima Zehra Ki Jaayi Ko
Ro-Ungi Us Darakht Kay Neechey My Bhaai Ko

Uttkar Qareen-E Shajar Kay Jo Pahunchi Kushaan Kushaan
Bey Ekhtiyaar Aankhon Sey Aansoon Huvey Rawaan
Aaya Nazar Jo Khooney Sarey Shah-E Naagahaan
Liptteen Shajar Sey Khwaaharey Sultan -E Inso-Jaan

Chillati Thi Kay Jaan-E Hazeen Nikli Jaati Hai
Bhaiyya Tumhaarey Khoon Ki Booh Mujko Aati Hai

Royi Bayaan Kar Kay Jo Zainab Ba Haaley Zaar
Maabayn-E Dasht-E Haaye Hussaina Ki Thi Pukaar
Ek Baagh Tha Wahaan Kay Har Ek Gul Tha Jiska Khaar
Tha Mohtemam Wahaan Ka Tameem-E Sitam Shayaar

Zulmat Ayaan Thi Kufr Ki Us Badh Khisaal Sey
Rakhta Tha Bugz Dil Mey Mohammed Ki Aal Sey

Aayi Sadaa Jo Kaan Mey Ronay Ki Ek Baar
Teori Chaddhaaye Baagh Sey Niklaa Woh Badhshiyaar
Dekha Kay Ek Zaeefa-E Ghaamgeen-O Sogwaar
Liptee Huvi Darakht Sey Roti Hai Zaar Zaar

Raashaa Hai Tanh Mey Rang Bhi Chehray Ka Zard Hai
Dushman Bhi Ro Rahey Hai Yeh Baatou Mey Dard Hai

Poocha Yeh Isney Aakay Qareeb-E Sipaahey Shar
Aurath Yeh Kaunsi Hai Jo Rothi Hai Is Qadar
Bola Koyi Shaqi Kay Tujhey Kya Nahin Khabar
Zainab Yehi Hai Aashiq-E Sultan-E Behrobar

Muddath Sey Sogwaar Shahey Tishnakaam Hai
Yeh Khwaaharey Hussain Alaihis Salaam Hai

Sunna Tha Yeh Kay Ghaiz Mey Ayaa Woh Badh Zubaan
Pahuncha Qareeb-E Dukhtar-E Khatoon-E Insojaan
Tha Aahni Jo Haath Mey Ek Bailchaa -E Giraan
Maara Shaqi Ney Farq Pey Zainab Kay Naagahaan

Ghash Aagaya Zameen Pa Tharraakay Gir Padey
Sar Par Lagi Woh Zarb Kay Teoraakay Gir Padey

Abid Yeh Sunkay Laash Pa Pahunchey Ba Chashme Nam
Chehrey Ko Dekh Dekh Kay Roye Basad Alam
Ro Ro Kay Ghusl Deney Lagey Sarwar -E Umam
Dekhey Nashaan Rasan Kay Jo Baazu Pey Hai Sitam

Boley Nishani Sipaah-E Naabekaar Hai
Baad-E Fanaa Bhi Daagey Rasan Aashkaar Hai

Jis Waqt Ghusl Dey Chukay Sajjad-E Dilfigaar
Tayyaar Qabr Bhi Huvi Itney Mey Ek Baar
Go Kaamptey Thay Zouf Sey Woh Dast -E Raashadaar
Abid Ney Khud Lahad Mey Utaara Bahaaley Zaar

Tadpaa Jigar Yeh Shiddat-E Aaho Bukaa Huvi
Turbat Jo Bandh Ki Toh Qayamat Bapaa Huvi

Page 122 Of 137

Shehzadi Umme Kulsoom
Umme Kulsoom Khwaaharey Zainab
Umme Kulsoom Khwaaharey Zainab
Zindagi Bhar Sahi Tu Ranj-O Taa-Ab
Ghzrey Roney Mey Teray Roz-O Shab
Mar Gayi Gham Utthaakay Haaye Ghazab

Ab Ali-O Batool Rotay Hai
Peet Kar Sar Rasool Rotay Hain

Bhaai Ko Roz-O Shab Jo Roti Thi
Muh Ko Ashkou Se Apney Dhoti Thi
Gham Sey Fursath Jisey Na Hoti Thi
Jaan Ro Ro Kay Apni Khoti Thi

Woh Jahaan Sey Guzargayi Haaye Haaye
Umme Kulsoom Margayi Haaye Haaye

Yaad Aatey Hain Teray Gham Bibi
Woh Aseeri Woh Qaid Ki Sakhti
Tujh Pey Yun Rash Gham-O Alam Ki Thi
Uff Woh Rudaad Bey Ridaayi Ki

Tujhko Jab Sey Gham-E Hussain Milaa
Ek Pal Bhi Tujhey Na Chain Milaa

Qaid Sey Chutt Kay Jab Watan Aayi
Saath Bhaayi Ka Apney Gham Laayi
Zabt Karney Na Paayi Dukh Paayi
Dekha Jis Dum Madina Chillaayi

Gham Pey Gham Hum Utthaakay Aaye Hain
Saarey Ghar Ko Lutaakay Aaye Hain

Aye Madiney Hamey Qubool Na Kar
Katt Gaya Teigh Sey Hussain Ka Sar
Chinn Gayi Thi Saroun Sey Bhi Chaadar
Wapas Aaye Hain Phir Kay Hum Dar Dar

Martey Dum Tak Yeh Gham Utthaana Hai
Aisa Aana Bhi Koyi Aana Hai

Hum Museebath Utthaakay Aaye Hain
Qaid Khaaney Mey Jaakay Aaye Hain
Bhaai Betay Gunwaah Kay Aaye Hain
Qabr Sheh Ki Banaakay Aaye Hain

Saath Betay Hain Aur Na Waali Hai
Godiyaan Bibiyoun Ki Khaali Hai

Bain Tu Ney Kiye Jo Zaar-O Qataar
Gham Sey Dil Hogaye Sabhi Kay Figaar
Daagh Thay Terey Ek Dil Pey Hazaar
Kithni Pur Dard Thi Woh Teri Pukaar

Khoon Rulaata Tha Marsia Tera
Gham Sey Dil Choor Choor Tha Tera

Haaye Kaisi Ulatt Gayi Taqdeer
Gayi Darbaar Mey Tu Hokay Aseer
Aakhri Saans Takh Rahi Dilgeer
Umme Kulsoom Khwaaharey Shabbir

Karbala Yaad Jab Bhi Aati Hai
Yaad Teri Hamey Rulaati Hai

Page 123 Of 137

Widaa-E Ayyam-E Azaa
Aye Sougwaaro Aah- O Buka Ka Muqaam Hai
Gaye Sougwaaro Aah-O Buka Ka Muqaam Hai
Ab Ruqsath-E Hussain Alaihis Salaam Hai
Mehmaan Tumhaara Jaatha Hai Jo Tashna Kaam Hai
Sar Peeto Khaak Udaao Ke Maatam Tamaam Hai

Ab Wo Sadaa-E Haae Hussaina Na Aaegi
Ghar Me Tumhaare Faatema Zehra Na Aaegi

Aye Shaah-E Karbala Teri Qidmath Na Ho Saki
Aye Kushta-E Jafaa Teri Qidmath Na Ho Saki
Aye Jaane Faatema Teri Qidmath Na Ho Saki
Mehmaan-E- Nainawa Teri Qidmath Na Ho Saki

Jee Bhar Ke Rosake Na Ye Gardish Naseeb Ki
Majlis Ye Aaqri Hai Hussain-E Ghareeb Ki
Agle Bara Hussain Muharram Me Aaenge
Baaqi Rahi Hayaath Tho Ye Gham Manaaenge

Aur Faatema Ke Laal Par Aansu Bahaaenge
Gar Margaye Tou Qabr Me Ham Khaak Udaaenge

Tayaar Qaafela Hai Shah-E Mashraqain Ka
Lo Karbala Ko Jaatha Hai Kunba Hussain Ka
Abbas-E Baawafa Ali Akbar Na Jaaiye
Jhule Ko Qaali Chowd Ke Asghar Na Jaaiye

Lekar Baraath Qaasim-E Bepar Na Jaaiye
Veeran Makaan Hote Hai Sarwar Na Jaaiye

Aye Sadaa Na Rowo Azaadar Aaenge
Phir Agle Saal Apne Bhare Ghar Ko Laaenge
Bin Byaah Noujawaan Ali Akbar Bhi Aayenge
Nasgj-E Akan Je Saath Baradar Bhi Aayenge

Baano Ki Godh Me Ali Asghar Bhi Aayenge
Noushaah Banke Qaasim-E Bepar Bhi Aayenge

Zainab Ka Haath Thaame Sakina Bhi Aaegi
Ek Shab Ki Byaahi Fatima Kubra Bhi Aaegi
Zainab Ke Laal Baandhke Hathyaar Aaenge
Soghra Mareez Aabed-E Beemaar Aaenge

Shabbar Ke Saath Hyder-E Karrar Aaenge
Zehra Ko Thaame Ahmed-E Muqtaar Aaenge

Dil Kyun Na Beqaraar Ho Bint-E Rasool Ka
Majrooh Aaj Tak Bhi Hai Pahlu Butool Ka
Be Chain Faatema Hai Na Aansu Bahaao Tum
Mai Jaaraha Hoon Roke Na Mujh Ko Rulaao Tum

Zehmath Na Ho Tho Meri Ziyaarath Ko Aao Tum
Turbat H Pe Aake Ashkoun Ki Chaadar Chadhaao Tum

Mehmaan Jo Karbala Me Mere Paas Aaenge
Un Sab Ki Paishwaai Ko Abbas Aaenge

Lo Alvidaa Hota Hai Ruqsath Ye Tashna Kaam
Tum Rorahe Ho Maah-E Muharram Se Subh-O Shaam
Kousar Pe Apne Haath Se Doonga Mai Bhar Ke Jaam
Ruqsath Hussain Hota Hai Tum Par Mera Salaam

Dono Jahaan Me Qush Raho Aur Shaad Tum Raho
Amma Duaaen Dethi Hain Aabaad Tum Raho

Page 124 Of 137

Haan Aashiqo Hussain Ki Aah-O Bukaa Karo
Zehra Ka Saath Do Madad-E Mustafa Karo
Haqq-E Mohabbath-E Shah-E Bekas Adaa Karo
Ab Kooch Hai Hussain Ka Mehshar Bapaa Karo

Lo Ab Vidaa Kijiyo Aal-E Rasool Ko
Do Aaqri Hussain Ka Pursa Butool Ko

Aye Tashna Kaam-O Bekas-O Nakaam Alwedaa
Aye Mubtelaa-E Hasrath-O Aalam Alwedaa
Aye Bekafan Ali Ke Gul Andaam Alwedaa
Mazbooh Taigh-E Shimr Bad Anjaam Alwedaa

Muzlumiyath Pe Aapki Jaan Apni Khoenge
Jab Tak Hai Zinda Aapke Maatam Me Roenge

Aye Shah-E Karbalaa-E Moalla Salaam Lo
Ham Bekasoun Ke Waali-O Moula Salaam Lo
Aqaa Salaam Lo Shah-E Waala Salaam Lo
Aye Faatema Ke Chaand Hamaara Salaam Lo

Ruqsath Ye Aaqri Hai Dilafgaar Aaye Hain
Moula Salaam Lo Ye Azaadaar Aaye Hain

Imam Mohammed-E Baquar A.S
Baquar Bhi The Shareek-E Shahinshaah-E Tashnalab
Baquar Bhi The Shareek-E Shahinshaah-E Tashnalab
Sahraa-E Karbala Me Uthaate Rahe Ta- Ab
Kam Umr The To Kya Huwa Majboor The Ye Kab
Zour-E Jawaan Dikhate Jo Hoti Razaa-E Rab

Hamjoli Unke Kaise Lade Is Ladaai Me
Bach-Choun Ki Dhaak Bandh Gayi Taigh Aazmaai Me

Manzoor Haq Ko Rukn-E Imaamath Ka Tha Qiyaam
Daftar Me Aosiya Ke Raqam Ho Chuka Tha Naam
Tha Hukm-E Zuljalaal Ye Hon Paanchwaa Imaam
Qaayam Rahe Shariyathe Paighambar-E Anaam

Deen Imtehaane Sabr Buzurgoun Ki Shaan Se
Hujjath Tamaam Karke Sidhaare Jahaan Se

Hamd-E Quda Me Kat-The Rahe Imtihaan Ke Din
Shaaker Huwa Qitaab-E Shahinshaah-E Ins-O Jinn
Qayam The Hilm-E Shaah Ke Sab Kork-O Main
Har Ranj Me Raha Dil-E Aagaah Mutmain

Keen Bhara Huwa Tha Jo Qaib-E Hishaam Me
Takleef Di Bulaa Ke Madine Se Shaam Me

Paaband Hukme Haakim-E Jaaber Tha Be Adab
Qeemath Se Koi Cheez Na Dete The Hai Ghazab
Faaqe Se Teen Rouz Raha Sarwar-E Arab
Jis Tarha Karbala Me Uthaaya Tha Ye Ta Ab

Guzre The Waan Bhi Itne Hi Din Bhook Pyaas Me
Dil Tha Hujoom-O Hasrath-O Andowh-O Yaas Me

Baaqer Ke Waasthe Marazul Mouth Tha Wohi
Eiza-E Saqt Kul Ke Madadgaar Ne Sahi
Taqath Na Uthne Ki Shah-E Zeejaah Me Rahi
Baqsha Pisar Ko Aap Ne Roz-E Yadul Lahi

Sadma Ajab Tha Jaafar-E Saadiq Ki Jaan Par
Jaari Wasiyaten Huwin Jisdam Zabaan Par

Rone Lagaa Pisar Jo Suna Ye Kalaam -E Yaas
Shah Ne Kaha Quda Ho Nigahbaan Na Ho Udaas
Rakha Huwa Hai Jo Mere Ahraam Ka Libaas
Dena Kafan Usi Se Mujhe Mera Haq Shinaas

Nahlaana Apne Haath Se Aye Mahjabeen Hamain
Padhkar Namaaz Qabr Me Rakhna Tumhi Hamain

Aawaaz Deraha Hai Jigar Gousha-E Hussain
Aaja Ke Aaj Quld Me Hai Mera Noor-E Ain
Ye Kahte Kahte Chup Huwe Sultaan-E Mashraqain
Laqte Jigar Ne Aah Ki Aaya Na Dil Ko Chain

Dekha Ke Haal Ghair Hai Shaah-E Anaam Ka
Qibla Ki Simth Kardiya Chehra Imaam Ka

Tha Jinke Saamne Ruq-E Farzand-E Mahlaqaa
Aankhen Wo Band Hogain Andhair Hogaya
Jo Dil Rubaa Se Kahrahe The Dil Ka Mudduaa
Qaamoosh Wo Zabaan Aye Waa Musibataa

Kya Kya Tha Karb Jis Me Basar Teem Din Huwe
Bejaan Chowthe Roz Shah-E Ins-O Jinn Huwe

Page 125 Of 137

Hai Qasd Kuch Fazael- E Baquar Raqam Karoon
Hai Qasd Kuch Fazael-E Baquar Raqam Karoon
Tahreer Mojizaatey Imam-E Umam Karoon
Likhney Mey Misley Khaama-E Sar Ajz Kham Karoon
Lauh-O Qalam Ko Geeratey Lauh-O Qalam Karoon

Anwaarey Mojizaat Sey Raushan Kitaab Ho
Khaama Shuaa Ho Toh Waraqh Aftaab Ho

Ek Din Pidar Ki Godh Mey Tha Woh Falak Muqaam
Ek Shiya Laya Nazrey Dirahem Paey Imam
Sajjad Kay Huzoor Woh Dirham Rakhey Tamaam
Dirham Sey Khelney Lagaa Farzand-E Nekh Naam

Kya Aql Di Thi Khaaliq-E Roz-E Hisaab Ney
Dirham Zameen Pey Phaink Diya Us Janaab Ney

Tab Doud Kar Mohib Ney Dirham Uttha Liya
Aur Us Ko Darmiyaan-E Dirham Par Milaa Diya
Baquar Ney Chunkay Phir Wahi Dirham Judaa Kiya
Tifli Mey Thi Yeh Aap Pey Taaeed-E Kibriyaa

Likha Hai Teen Baar Yehi Maajera Huva
Us Dum Mohib Ko Sheh Kay Tahyur Bada Huva

Abid Sey Ki Yeh Shia-E Abid Ney Iltejaa
Irshaad Aap Kijiyeh Yeh Maajera Hai Kya
Sheh Ney Kaha Yeh Aadat-E Tifli Na Jaantaa
Hoga Imam Baad Hamarey Yeh Mehlaqaa

Dirham Yeh Ek Gazbi-O Maal-E Haraam Hai
Kyun Kar Issey Qubool Karey Yeh Imam Hai

Baquar Pey Woh Nisaar Huvaa Paaoon Choom Choom
Tifli Sey Sheh Kay Ilm-E Khuda Daad Ki Thi Dhoom
Baquar Ki Sharaa Kartey Hain Yeh Khaas Aur Amoom
Yaani Hai Woh Imam Shagafandah-E Uloom

Tha Koi Raaz-E Ghaib Na Shah Sey Chupaa Hua
Uqdaa Woh Kaun Tha Jo Na Hazrat Sey Waa Hua

Likhta Hoon Ab Shahadat-E Maula-E Khoosh Nihaad
Tha Bas Kay Zaid Ibn-E Hassan Ko Hasad Ziyaad
Rakhta Tha Bughz Aap Sey Woh Baani -E Fasaad
Karta Tha Majlison Mey Hiqaarat Sey Sheh Ko Yaad

Tha Munhareef Woh Baquar-E Aali Muqaam Sey
Karta Tha Adaa-E Imamat Imam Sey

Page 126 Of 137

Sougandh Khaakay Zaid Ney Is Waqt Yeh Kahaa
Daawaa Na Ab Karoonga Imamat Ka Mutleqaa
Phir Suey Mulk Shaam Woh Maloon Rawaan Huvaa
Abdul Malik Sey Jaakay Kahaa Sab Yeh Maajeraa

Aakhir Ko Yeh Kaha Kay Hamaarey Gumaan Mey
Baquar Sa Ab Nahin Koyi Saarey Jahaan Mey

Abdul Malik Ko Bughz-O Khusumath Huvi Ziyaad
Kya Kya Na Usney Shahey Umam Sey Kiye Fisaad
Akhir Imam Ko Yeh Likhaa Az Rahey Anaad
Main Bhejtaa Hoon Zaid Ko Aye Shahey Khush Nihaad

Ibn=E Hassan Ko Laayeq-E Takreem Kijiyeh
Taadeeb Kijiyeh Usay Taaleem Kijiyeh

Aur Ek Zeen Taabiye Jis Mey Kiya Tha Sam
Hum Raah Zaid Bheijaa Baraaye Shahey Umam
Aaya Jo Zaid Rubaru-E Shahey Ba Karam
Shah Boley Hai Jo Qasd Tera Jaantey Hain Hum

Aey Ibne Amm Yeh Zulmo Sitam Tu Ney Kya Kiya
Is Zeen Mey Hai Taabiye Zehr-E Dagaa Kiya

Is Zeen Par My Hothaa Hoon Daanista Ab Sawaar
Bandey Ko Kya Mashiyat-E Izd Mey Ekhtiyaar
Bandha Woh Zeen Asp Pey Allah Rey Inkesaar
Aur Zaib-E Raahwaar Huva Shaahey Bawaqaar

Maut Apni Pasand Raza-E Ilaah Mey
Us Zaher Ney Nafooz Kiya Jism-E Shah Mey

Sheh Ney Muraaje-Ath Ki Sawaari Sey Aah Jab
Bas Aashkaar Hogaye Aasaar-E Maut Sab
Farmaaya Teen Roz Kay Hum Mehmaan Hain Ab
Jaffar Ko Laao Aur Kafan Bhi Karo Talab

Talib Kafan Kay Badley Hain Is Pairahan Kay Hum
Kabey Ka Tawaaf Kartey They Jis Ko Pahen Kay Hum

Laaye Woh Jaama Hazrat-E Sadiq Bachashm-E Tarr
Hazrat Ney Pyaar Karkay Kahaa Unko Aye Pisar
Jaata Hoon Mai Jahaan Sey Tu Hotaa Hai Beypidar
Duniya Sey Aaj Kartaa Hoon Uqbaa Ka Main Safar

Pyarey Pidar Kay Marney Ka Tum Gham Na Khaaiyo
Mazloomi-E Hussain Pey Aansoo Bhaaiyo

Imam-E Jafar-E Sadiq A.S
Bechain Dil Tha Hazrathe Baquar Ki Yaad Me
Bechain Dil Tha Hazrathe Baquar Ki Yaad Me
Saamaane Gham Tha Farq-E Paak-E Etaqaad Me
Tha Jashn-E Eid Qaana-E Ahle Anaad Me
Goya Bahaar Aai Thi Baagh-E Muraad Me

Qush The Ke Barwar-E Shajar-E Mudduaa Huwa
Ek Taaza Gul Ali Ke Chaman Se Judaa Huwa

Din Raath Ahle Shar Isi Tadbeer Me The Aah
Qairul Bashar Ka Naam Mitaa Dey Wo Rusiyaah
Par Qalq Reh Na Sakthi Thi Be Hujjath-E Ilaah
Baqsha Quda Ne Jaafar-E Saadiq Ko Izz-O Jaah

Jo Har Kushaa-E Taqt-E Karaamath Huwe Huzoor
Rounaq Fizaa-E Taqt-E Imaamath Huwe Huzoor

Qurbaan Malak They Jaffar-E Sadiq Ki Shaan Par
Haafiz Fida They Mushaf-E Naatiq Ki Shaan Par
Maula Toh Jaan Detay They Khaaliq Ki Shaan Par
Maashooq Ko Bhi Naaz Tha Aashiqh Ki Shaan Par

Qaail Zubaan Har Ek Munafiq Ki Hogayi
Aalam Mey Dhoom Ulfat-E Sadiq Ki Hogayi

Page 127 Of 137

Raazi Qazaa Pey Tha Woh Jigar Band-E Murtuza
Karta Hai Ek Shaks Yeh Wasfey Shahey Huda
Beemaar Koyi Aapka Tha Tifl Mehlaqaa
Daulat Saraa Pey Uski Ayaadat Ko My Gaya

Hazrat Khadey Huvey They Jhuka My Salaam Ko
Paaya Magar Udaas Imam-E Anaam Ko

Andar Gaye Huzoor My Tehraa Raha Wahin
Dekha Yeh Wapasi Mey Kay Gham Ka Asar Nahin
My Ne Kaha Kay Shaad Rakhey Rab-Ul Alameen
Shehzaada Khairiyat Sey Hai Aye Baadshahey Deen

Farmaaya Woh Mareez Jahaan Sey Guzar Gaya
Ladkay Ka Haal Dekh Kay Aaya Hoon Margayaa

Poocha Kay Pehley Ranj Tha Ab Kyun Nahin Malaal
Boley Hum Ahleybait-E Nabi Ka Yahi Hai Haal
Gham Ka Dum-E Nuzool Bhalaa Kartey Hain Khayaal
Naazil Woh Hogayi Toh Kiya Shukr-E Zuljalaal

Tasleem Kis Tarha Na Raza Kibriya Ki Ho
Bandey Ka Dakhl Kya Jo Mashiya Khuda Ki Ho

Maasoom Ki Qazaa-E Ilaahi Pe Thi Nazar
Kyun Ke Na Ho Hussain Se Saaber Ke Thi Jigar
Hai Aashkaar Himmath-E Shabbir Naamwar
Pardes Me Lutaadiya Aabaad Apna Ghar

Raah-E Quda Me Dil Ko Sambhaala Imaam Ne
Aulaad Zibha Hogayi Aankhoun Ke Saamne

Baqar Kay Laqtey Dil Ko Na Aya Kabhi Ghazab
Taabay Khuda Kay Hukm Ka Tha Sarwar-E Arab
Karta Tha Sabr Naasir-E Deen-E Habib-E Rab
Deta Tha Sadmey Aapko Mansoor-E Bey Adab

Firoun –E Asr Phir Gaya Fakhrey Kaleem Sey
Keena Tha Sang Saqht Ko Durr-E Yateem Sey

Rehthi Thi Usko Shaam-O Saher Fikr-E Qatal-E Shaah
Jaltha Tha Aaftaab-E Imaamath Se Rusiyaah
Thi Aarzu Ke Qaana-E Hyder Ho Phir Tabaah
Hon Be Imaam Qaadim-E Sultaane Deen Panaah

Saadaath Mubtelaa-E Balaa-E Azeem Ho
Jaffar Ho Qatl Moosi-E Kaazim Yateem Ho

Zaalim Ko Bey Gunaah Sey Manzoor Thi Daghaa
Makkaar Ney Iraq Mey Aakhir Talab Kiya
Karta Raha Iraada-E Qatl-E Shahey Huda
Aijaz Taaza Dekh Kay Kar Deyta Thaa Rehaa

Tegh-E Sitam Nikalta Tha Jab Niyam Sey
Chal Sakta Tha Na Zor Dua-E Imam Sey

Sadh Half Sang Dil Ko Na Kuch Iska Tha Khayaal
Mehmaan Maraa Hai Gulshan-E Baquar Ka Nounehaal
Mansoor Ka Bhi Tark-E Wafaa Me Wohi Tha Haal
Jaise Yazeed-O Ibn-E Ziyaad-E Zaboon Qhisaal

Kis Tarha Zaalimoun Ne Sataaya Hussain Ko
Loota Bula Ke Ghar Se Shah-E Mashraqain Ko

Haq Ke Wali Ka Dushman-E Jaani Tha Rusiyaah
Sab Aafathoun Se Bachke Watan Me Jab Aaye Shaah
Wo Zulm Hogaya Ke Madina Huwa Tabaah
Angoor Me Imaam Ko Dilwaaya Zaher Aah

Sarwar-E Riyaaz-E Deen Ka Ajab Haal Hogaya
Sar Sabz Baagh-E Deen Ka Paamaal Hogaya

Paathe The Jis Se Rizq Masaakeen-O Be Nawaa
Us Ghar Me Khaak Udne Lagi Waa Musibathaa
Milkar Pidar Se Moosiye Kaazimne Ki Bukaa
Hazrath Ne Waqthe Naza Jo Unko Wasi Kiyaa

Hontoun Pe Dam Tha Mout Thi Aankhoun Ke Saamne
Bulwaaya Sab Azizoun Ko Usdam Imaam Ne

Naagaah Band Hogayi Aawaaz Dard Naak
Pahonchi Jawaar-E Rahmath-E Qaaleq Me Rooh-E Paak
Taigh-E Alam Se Dil Huwe Baitoun Ke Chaak Chaak
Tar Hogaya Yatimoun Ke Ashkoun Se Farsh-E Khaak

Fikar Kafan Wasi-E Shah-E Ins-O Jan Ne Ki
Tadbeer-E Ghusl-E Shaah Imam-E Zaman Ne Ki

Page 128 Of 137

Imam-E Moosa-E Kazim A.S
Sar Peeto Aaj Moosa-E Jaafar Huwa Shaheed
Sar Peeto Aaj Moosiye Jaafar Huwa Shaheed
Ibn-E Ali-O Ibn-E Payambar Huwa Shaheed
Ghurbath Me Aaj Kaazim-E Bepar Huwa Shaheed
Lo Mominoun Ka Saathwaan Rehbar Huwa Shaheed

Pilwaaya Zaher Baadey Shah-E Qaaso Aam Ko
Haaroon Ne Rasheed Ne Maara Imaam Ko

Kis Tarha Se Bayaan Karoon Zulm-E Ahl-E Keen
Afsous Paitt Bhar Kabhi Khaana Mila Nahin
Faaqe Pe Faaqe Kartha Ahmed Ka Jaanashin
Zindaan Me Chowdaa Saal Tha Mahboob-E Shaah-E Deen

Taaqath Na Thi Zaraa Bhi Qawood-O Qiyaam Ki
Haalath Ye Thi Imaam Alalhis Salam Ki

Di Ummath-E Nabi Ko Na Hazrath Ne Badd Duaa
Har Waqt Sheh Ke Lab Pe Raha Shukr-E Kibriyaa
Sindi Ke Taaziyaanoun Ki Har Roz Thi Jafaa
Bahtha Tha Khoon Jism Se Roohi Lakal Fidaa

Eizaa-E Qaid Aisi Kisi Ne Sahi Nahi
Bedaad Istarha Ki Kisi Par Huwi Nahi

Al Qissa Zaher Aap Ko Angoor Me Diya
Jis Se Janaab-E Moosa-E Kaazim Ne Ki Qazaa
Baazoun Ne Likha Hai Ye Shahadath Ka Maajra
Pighlaake Sheesh Aapko Jabran Pilaa Diya

Kaisey Kahoon Ke Haal Huwa Kya Imaam Ka
Jalkar Huwa Kabaab Kaleja Imaam Ka

Ghul Padh Gaya Ke Moosiye Kaazim Ne Ki Qazaa
Laashe Ko Laake Jasr Pe Aada Ne Rakh Diya
Aur Chehra-E Imaam Se Kapda Hataa Diya
Do Roz Yun Hi Laash Ka Chehra Khula Raha

Thi Laash Bekafan Shah-E Aali Maqaam Ki
Touqeer Thi Ye Aal-E Rasool-E Anaam Ki

Nazdeek Bhaai Tha, Na Pisar Tha, Na Bhaanja
Tanhaai Me Ye Zulm-O Sitam Waa Musibataa
Do Roz Tak Toh Jasr Pe Laasha Padha Raha
Mayyath Pe Rone Waala Bhi Hai Hai Koi Na Thaa

Sadme Uthaake Haae Jahaan Se Guzar Gaye
Ghurbath Me Aah Kaazim-E Zeeshaan Margaye

Shia Nisaar Aap Ki Ghurbath Ke Yaa Imaam
Ghurbath Me Tum Shaheed Huwe Aye Shah -E Anaam
Be Jurm Maara Aap Ko Ya Shah-E Qaas-O Aam
Haaroon Ne Haif Kardiya Kaam Aap Ka Tamaam

Qouf-E Quda Na Qouf-E Rasool-E Quda Kiya
Shammey Hayaath Aapki Zaalim Bujhaa Diya

Misl-E Tamaashaa Dekhthe Hain Saare Mard-O Zan
Hai Zair-E Aaftaab Imaam-E Huda Ka Tanh
Haaroon Ka Bhaai Laash Pe Aaya Basad Mehan
Hazrath Ko Apne Ghar Se Diya Qeemthi Kafan

Kaazim Ke Paas Bhejaa Quda Ne Fidaayi Ko
Lekin Kafan Mila Na Shahe Karbalayi Ko

Page 129 Of 137

Zindaan-E Gham Tha Moosa-E Kaazim Ke Waasthe
Zindaan-E Gham Tha Moosa-E Kaazim Ke Waasthe
Taaza Sitam Tha Moosa-E Kaazim Ke Waasthe
Aaraam Kam Tha Moosa-E Kaazim Ke Waasthe
Behad Alam Tha Moosa-E Kaazim Ke Waasthe

Chut Kar Pidar Se Haamil-E Raj-O Alam Rahe
Paaband Hukm-E Haq Ke Imaam-E Zaman Rahe

Be-Dil Tha Inquilaab-E Jahaan Se Shah-E Anaam
Dunyaa-E Deen Ke Naam Se Nafrath Hi Madaam
Beshak Saraa-E Daher Hai Ibrath Fizaa Muqaam
Hai Subha Ko Sabaath Ka Kuch Etebaar-E Shaam

Gar Noor Ka Amal Kabhi Zulmath Ka Dour Hai
Din Ki Kuch Aur Shaam Ki Haalath Kuch Aur Hai

Pyaara Bahot Tha Jaafar-E Saadiq Ko Apna Maah
Hazrath Ke Baad Abr-E Sitam Ne Na Di Panaah
Noor-E Quda Se Phir Gaye Aadaa-E Ru Siyaah
Izz-O Sharaf Me Shah Ke Na Thi Jaa-E Ittebaah

Dil Mutmain Tha Rahmath-E Haq Ke Nuzool Se
Seen Bhara Huwa Tha Uloom-E Rasool Se

Hallale Mushkilaath Ke Waaris Imaam-E Deen
Maalik Har Aasmaan Ke Muqtaar-E Har Zameen
Farmaa Rawaa-E Mulke Vilaayath Ke Jaanasheen
Mashoor Do Jahaan Me Jahaandaar Jaftameen

Aathe The Kis Adab Se Malak Baargaah Me
Hyder Ka Taqt-O Taaj Tha Sarkaar-E Shaah Me

Saadaath Ko Rayisoun Ko Naaqe Kiye Raqam
Jaahil Ne Bheje Khat Ulama Ko Bhi Ek Qalam
Mazmoon Ye Tha Ke Makke Me Aaye Arab Ajam
Iqraar Me Karam Hai Aur Inkaar Me Sitam

Maanenge Hukm Jinko Alaaqa Hai Deen Se
Baiyyath Kare Sab Aake Mere Jaanasheen Se

Hargiz Mujhe Ithaa- Athe Kaazim Nahi Qubool
Main Chaahtha Hoon Qiad Karoon Unko Ya Rasool
Rakhtha Hai Uski Zaat Khataktha Hai Dil Malool
Barpa Huwa Fisaad To Phir Usse Kya Husool

Tadbeer Wo Karoon Mai Ke Qissa Hi Paak Ho
Aisa Naho Huzoor Ki Ummath Halaak Ho

Tha Rouza-E Rasool Me Sultaan-E Ins-O Jaan
Mashghool Tha Namaaz Me Wo Haadiye Jahaan
Pahonche Malaazemeen Sitamgar Ke Naagahaan
Kyun Kar Mai Zaalimoun Ki Shifaa-Ath Karoon Bayaan

Nargha Siyah Kaaroun Ne Ekbaar Karliya
Us Aa Huwe Haram Ko Giraftaar Kar Liya

Page 130 Of 137

Hai Haath Khainchthe Huwe Jab Le Chale Shaqi
Faryaad Shah Ne Ki Taraf-E Turbat-E Nabh
Rokar Kaha Ke Dekhiye Qaadim Ki Bekasi
Kya Zulm Mujh Pe Karthi Hai Ummath Janaab Ki

Darthe Nahi Ye Log Quda-O Rasool Se
Rakhthe Hain Bughz Nasl-E Ali-O Butool Se

Haaroon Ka Tha Hukm Ke Ho Qatl-E Shaah-E Deen
Chal Sakthi Thi Na Haamil-E Basra Ki Taigh Keen
Haalath Wo Dekhtha Tha Ke Dil Us Ka Tha Hazeen
Sajde Me Rahthi Thi Shah-E Abraar Ki Jabeen

Karthe The Sabr Apne Buzurgoun Ki Shaan Se
Nikli Na Zaalimoun Ki Shikaayath Zabaan Se

Ye Kaar-E Saqt Aur Kisi Ke Supurd Kar
Warna Reha Karoonga Mai Syed Ko Beqatar
Ghabraaya Padh Ke Khat Ki Ibaarath Ko Ahl-E Shar
Baaz Aaya Zulm Se Na Sitamgar Wo Bad Gohar

Baasre Se Bewafaa Ne Bula Bheja Shaah Ko
Boghdaad Me Aseer Kiya Begunaah Ko

Ghamqhwar Qaid Khaane Me Thi Ya Zuljalaal
Sajdoun Ko Tool Dete The Sultaan-E Qush Qisaal
Faaqoun Se Ghul Gaya Tha Badan Zouf Tha Kamaal
Uthna Tha Naagawar Naqaahat Ka Tha Ye Haal

Samjha Nigaah Jis Ki Padi Jism-E Paak Par
Kapda Pada Huwa Hai Koi Farsh-E Khaak Par

Aaqir Tadap Tadap Ke Musaafir Guzar Gaya
Mazloom Qaid Qaane Ko Veeraan Kar Gaya
Hyder Ke Paas Waaris-E Qairul Bashar Gaya
Boghdaad Me Madine Ka Sultan Margaya

Samaan Tha Kya Nabi Ke Yagaane Ke Waasthe
Mazdoor Aaye Laash Uthaane Ke Waasthe

Imam Mohammed Taqi A.S
Kya Haal Ho Razaa Ke Jigar Band Ka Bayaan
Ibn-E Raza Bhi Saalikay Raaheyt Raza Rahaa
Sajjadaa-E Rasool Pey Shagley Dua Rahaa
Har Ranj Mey Zabaan Pa Shukr-E Khuda Rahaa
Ginti Kay Dostdaar They Dushman Hazaarhaa

Badh Khwaah Kitney Is Qamr-E Murtuza Kay They
Tha Ek Chiraagh Sainkdo Jhonkay Hawa Kay They

Kya Haal Ho Razaa Ke Jigar Band Ka Bayaan
Pyaara Tha Murtua Ka Wo Sultan-E Ins-O Jaan
Moujiz Numa Imaam-E Zaman Haadiye Jahaan
Aise Wali Ke Dar Pe Eizaa The Badh-Gumaan

Souz-E Alam Se Dil Me They Chaaley Padey Huwey
The Rashkay Gul Ko Jaan Ke Laaley Padey Huwey

Laanath Quda Ki Motesim Naabekaar Par
Bheja Payaam Chodiye Ghar Aayiye Udhar
Darpaish Aah Phir Huwa Baghdaad Ka Safar
Par Is Safar Ne Manzil-E Aaqir Ki Di Qabar

Mazoom Ka Ye Kooch Watan Se Aqeer Tha
Mushtaaq-E Kanj Qabr Ka Wo Goshageer Tha

Hamraah Umme Fazl Bhi Thi Mouride Azaab
Yasrab Se Jaane Ki Thi Qushi Isko Be Hisaab
Uska Chacha Tha Moutasim-E Qaanumaa’ N Qaraab
Baghdaad Me Pahonch Gaye Shaah-E Falak Janaab

Touqeer Zaaheri To Bahut Bewafaa Ney Ki
Par Fikr-E Qatl-E Shaah Is Ahl-E Jafaa Ne Ki

Baghdaad Me Muqeem Rahe Saal Bhar Huzoor
Naari Ye Chaahtha Tha Ke Gul Ho Charaagh-E Noor
Waaqif Tha Umme Fazl Ki Haalat Se Pur Futoor
Rakhthi Thi Bughz Rahbar-E Aalam Se Be Shaoor

Zaalim Ke Mashvarey Se Wo Khirsand Hogayi
Kahne Pe Motasim Ke Raza Mand Hogayi

Page 131 Of 137

Ye Bey Murawwati Ye Sitam Ye Ghazab Ye Qahar
Wo Bekasi Imaam Ki Wo Door Apna Shaher
Dekhey Toh Ahle Dil Khalash Khaar Baagh-E Dahar
Angoor Raazaqi Mey Diya Faaqakashi Me Zehar

Le Karwatein Ali-O Wali Ko Pukaar Ke
Aazaa-E Paak Sooj Gaye Dil Figaar Ke

Rone Lagi Wo Dekh Ke Hazrath Ka Haal-E Zaar
Farmaaya Aap Ne Kay Abas Hai Toh Ashkbaar
Is Aarzey Sey Degaa Sazaa Tujhko Kirdagaar
Jis Ka Koi Ilaaj Nahi Aye Jafaa Sh Iyaar

Deti Jawaab Kya Sar-E Maloona Jhuk Gaya
Dam Shaahey Deen Ka Zaher Ke Sadme Se Ruk Gaya

Takleef Paai Chand Shab-O Roz Jaan Ghusul
Taasir-E Sam Se Aag Thi Seene Me Mushtiaal
Woh Karb-O Jigar Ki Haraarath Woh Dard-E Dil
Hota Gaya Rasool Ka Dildaar Muzmahil

Haakim Ne Ki Madad Na Tawajjoh Tabeeb Ne
Aaqir Safar Kiya Suye Jannat Ghareeb Ne

Kumla Ke Rahgaya Gule Tar Buturaab Ka
Murjhaya Nounehaal Risaalat Maab Ka
Dekha Jawaane Marg Ne Rang Inqilaab Ka
Wo Maut Bekasi Ki Woh Mausam Shabaab Ka

Kyun Peer Charkh Jaaye Ta Saf Hai Ya Nahi
Kamsin Imaamou Me Koi Aisa Huwa Nahi

Anjaam Is Tarha Bhi Kitaaboun Me Hai Raqam
Shiyoun Ne Aap Ke Jo Suna Ye Naya Sitam
Rothe Huwe Gaye Sar-E Tasleem Karke Kham
Mayyath Ko Baher-E Ghusl Uthaya Ba Chashma Nam

Seenoun Ko Apne Qastha Jigar Peetney Lage
Amaamey Phaink Phaink Ke Sar Peetney Lage

Nahlaaya Is Musaafir-E Daarus Salaam Ko
Bhar Aaye Dil Kafan Jo Pinhaaya Imaam Ko
Taaboot Me Litaake Shah-E Qaas-O Aam Ko
Pursa Diya Ali Ko Rasool-E Anaam Ko

Naale Tawaaf Karthey They Arshe Majeed Ka
Maatam Kiya Uthaake Janaaza Shaheed Ka

Jis Jaa Thi Qabr Moosiye Kaazim Falak Wiqaar
Pahlu Me Is Lahad Ke Khuda Doosra Mazaar
Posheeda Zair-E Khaaq Huwa Noor-E Kirdegaar
Hasrath Pukaar Ti Thi Key Is Shaan Ke Nisaar

Taaqeer Dafn Se Bhi Sharaf Aashkaar Hai
Ye Waaris-E Hussain Ghareeb Ud Dayaar Hai

Imam Ali Un Naqi A.S
Kis Umr Me Ali-E Naqi Be Pidar Huwe
Kis Umr Me Ali Un Naqi Be Pidar Huwe
Bachpan Me Dil Pe Chott Lagi Nouhagar Huwe
Yasrab Me Jaanasheen-E Shahey Behrobar Huwe
Ye Waaris-E Bizaa- Atey Qairul Bashar Huwe

Ilm-O Amal Ko Maan Liya Shaiq-O Shaab Ne
Kya Kamsini Me Paayi Buzurgi Janaab Ne

Charqe Nehum Imaam-E Dehum Ka Maqaam Hai
Pushto Panaah Arsh-E Bareen Inka Naam Hai
Har Chaar Simt Madhdah-O Sanaa-E Imaam Hai
Tasbeeh Shash Jahath Ki Durood-O Salaam Hai

Naari Hai Jo Kahe Ke Ye Noore Quda Nahi
Anwaar Qamsaa-E Najbaa Se Judaa Nahi

Page 132 Of 137

Aye Door Charq-E Raah Ye Kaisa Hai Intezaam
Qaamosh Kyun Rahoon Ke Shikaayath Ka Hai Maqaam
Rahne Na Paaye Chain Se Istarha Se Imaam
Qayam Maqaam Iskay Huvey Dushmaney Imam
(Wo Dour Zaalimoun Ka Wo Wizaaen Subh -O Shaam)

Farzand Par Rasool Ke Ummath Jafaa Kare
Pursaa Na Jab Koi Ho To Mazloom Kya Kare

Tayyar Qatl Par Mutawakkil Raha Madaam
Majboor Rahgaya Wo Adu-E Shah-E Anaam
Pahoncha Safar Me Chodd-Ke Ye Kaartha Tamaam
Qaayam Maqaam Uske Huwe Dushman-E Imaam

Fursat Mili Na Dilbare Shair-E Ilaah Ko
Tadbeer Motemadh Se Mila Zahr Shaah Ko

Wo Qalq Ka Maseeh Huwa Saahebey Firaash
Be Hiss Tha Jism Farsh Pe Goya Padi Thi Laash
Kunj-E Lahad Ko Gosha Nasheen Ko Huwi Talaash
Suraaq Dil Me Tha Toh Kaleja Tha Paash Paash

Aatey They Haal Dekhne Baashindey Shaher Ke
Po-Tha Raza Ka Martha Tha Sadme Se Zaher Ke

Raavi Bahut Se Haashmi Is Kay Hai La Kalaam
Jin Mey Hai Ek Ka Hasan Ibn-E Hussain Naam
Aaya Jo Roz Rehlat-E Shaahey Falak Maqaam
Sehney Makaan Mey Farsh Pey They Jalwagar Imam

Majma Bahut Tha Syed-E Zijaah Kay Qareeb
Mardam They Jamaa Yak Sad-O Panjaah Kay Qareeb

Nagaah Askari Nazar Aaye Hamey Udaas
Dakhil Huvey Makaan Mey Ayaan Chehrey Sey Thi Yaas
Paband Hazan Khaak Gareebaan O Beyhawaas
Dahni Taraf Khadey Huvey Aaker Pidar Kay Paas

Kis Haal Mey Hain Koun Yeh Hain Jaantey Na They
Huzzaar-E Anjuman Inhey Pehchaantey Na They

Noor-E Nazar Ko Dekh Ke Hazrath Ne Ye Kaha
Kar Shukr Kirdagaar Ka Aye Mere Mehlaqaa
Haadas Ek Amr Tere Liye Haq Ne Hai Kaha
Rone Laga Ye Sunte Hi Wo Raaziye Raza

Bola Ke Shukr Marhamath-E Zuljalaal Hai
De Apni Nematey Ye Quda Se Sawaal Hai

Poocha Kisi Ne Tab Huwa Maaloom Sab Ko Haal
Ye Hain Hassan Janaab-E Ali Un Naqi Ke Laal
Zaaher Huwa Jo Umr Ki Jaanib Kiya Qayaal
Hoga Qareeb Bees Baras Ka Ye Qush Jamaal

Samjhe Ishaare Ham Ye Kalaam-E Imaam Ka
Hai Jaanasheen Yahi Shah-E Aali Maqaam Ka

Rota Raha Wasi-E Shahinshaah-E Behrobar
Sa-Ath Wo Aayi Sar Se Uthaa Saaya-E Pidar
Saamere Se Jinaan Ki Taraf Hogaya Safar
Hae Hae Chuttaa Musaafir-E Yasrab Se Ye Bhi Ghar

Ghul Padh Gaya Wafaathe Ghareebul Watan Huwi
Saamaaney Ghusl Ka Huwa Fikr-E Kafan Huwi

Page 133 Of 137

Imaam-E Hassan-E Askari A.S
Shora Jahaan Me Hassan-E Askari Ka Hai
Shora Jahaan Me Hassan-E Askari Ka Hai
Naqsha Nageen Ye Arsh Ki Angushtari Ka Hai
Konain Me Ye Gul Chaman-E Hyderi Ka Hai
Durr-E Yateem Maadan-E Paighambari Ka Hai

Mazlumiyath Misaaley Janaab-E Hussain Hai
Aur Dabdabe Me Faatahey Badr-O Hunain Hai

Par Motamad Ne Qair Kiya Waa Musibatha
Aise Wali Ko Zaher Diya Waa Musibatha
Emaan Ke Ghar Ko Loot Liya Waa Musibatha
Khoone Jigar Haram Ne Piya Waa Musibatha

Phaada Kafan Ali Ne Nabi Nange Sar Huwe
Bachpan Me Haae Mahdi-E Deen Be Pidar Huwe

Arwaahe Panjetan Ko Sataaya Hazaar Haif
Jannath Me Mustafa Ko Rulaaya Hazaar Haif
Turbath Se Faatema Ko Uthaaya Hazaar Haif
Qabr-E Shah-E Najaf Ko Hilaaya Hazaar Haif

Ghul Saamere Me Hota Tha Jis Waqt Bayn Ka
Yaan Karbala Me Hiltha Tha Marqad Hussain Ka

Hairaan The Zaaerin-E Hussaini Ke Kya Hai Aaj
Kyun Zalzale Me Qabr-E Shah-E Karbala Hai Aaj
Mahshar Miyaane Ganj-E Shaheedaan Bapaa Hai Aaj
Aathi Hai Ye Sadaa Hamay Sadma Badaa Hai Aaj

Zaqmi Badan Ko Merey Adoo Ne Hilaa Diya
Po-They Ko Merey Zahrey Halahal Pilaa Diya

Hairath Hai Kyun Zameen Pe Na Arshe Ulaa Giraa
Is Zulm Se Ammaama-E Mushkil Kushaa Giraa
Abbasiyoun Pe Kyun Na Falak Jaabajaa Giraa
Baalaa-E Khaak Taaj-E Rasoole Quda Giraa

Sar Apna Khole Sog Me Aal-E Rasool Ne
Jannath Me Sar Se Phaink Di Chaadar Batool Ne

Likha Hai Jab Imaam Huwe Aazim-E Jinaan
Ek Dafaa Saamere Me Qayaamath Huwi Ayaan
Doulath Saraa-E Shaah Se Aane Lagi Fughaan
Lo Momino Yateem Huwe Saaheb-Uz Zamaan

Sar Garm Zulm Chaaroun Taraf Bad Qisaal Hai
Aur Haif Hai Ke Mahdi-E Deen Qurd Saal Hai

Saaya Na Baap Ka Na Koi Bhaai Saath Hai
Sar Par Imaam-E Asr Ke Bas Haq Ki Zaath Hai
Is Bepidar Ki Simth Kise Isteqaath Hai
Ab Sharm Ahle Baith Ki Zehra Ke Haath Hai

Laashe Ke Gird Shour Jo Nouhe Ka Hota Tha
Masoom Phoot Phoot Ke Baba Ko Rota Tha

Ab Is Tarha Se Ahle Khabar Karthe Hai Bayaan
Maatam Saraa Me Bibiyaan Karthi Thi Ye Fughaan
Nahla Chuke Jo Laasha-E Moulaa-E Do Jahaan
Kafnaaya Usko Rakhtay Mutahir Ke Darmiyaan

Aawaaz Aai Faatema Ke Shour-O Shain Ki
Sab Shiyaa Roye Bekafani Par Hussain Ki

Page 134 Of 137

Inhidaam-E Jannatul Baqhi
Jaan-E Nabi- O Qaasa-E Daawar Hai Faatema
Jaan-E Nabi-O Qaasa-E Daawar Hai Faatema
Kuch Shak Nahi Hai Shafa-E Mahshar Hai Faatema
Sibtain-E Zeewiqaar Ki Maadar Hai Faatema
Afsos Aaj Bekas-O Bepar Hai Faatema

Jannath Me Chain Hoega Kyunkar Rasool Ko
Todaa Hai Baqdiyoun Ne Mazaare Butool Ko

Din Aaj Hi Ka Tha Ye Qayaamath Huwi Bapaa
Taariq Aathween Thi Mahina Yahi To Thaa
Aada Ne Dhaa Diya Lahed-E Bint-E Mustafa
Hairath Ahi Kyun Jahaan Me Na Mahshar Bapaa Huwa

Naazil Azaab Unpe Ilaahi Shitaab Ho
Be Deen Qoum-E Baqt Ka Qaana Qaraab Ho

Zinda Raheen To Baap Ko Rone Nahi Diya
Mahroom Jaaedaad-E Mohammed Se Kar Diya
Darwaaze Ko Giraaya To Mohsin Ne Ki Qaza
Pahlu Shikastha Hogaya Zulm Aisa Huwa

Raahath Na Di Hayaath Me Bint-E Rasool Ko
Mismaar Aaj Kar Diya Qabr-E Butool Ko

Kya Zulm Kar Gaye Ke Nahi Jis Ki Inteha
Kaabe Ko Tou-Da Qabroun Ko Mismaar Kar Diya
Allah Ahlebaith Se Kya Unko Bughz Tha
Marne Ke Baad Bhi Ye Sitam Waa Musibatha

Ya Rab Giraade Baghdiyoun Par Aasmaan Ko
Dikhlaade Qaher Apna Too Ahle Jahaan Ko

Zinda Rahin To Dukh Me Hamesha Huwi Basar
Zehra Ne Chain Paaya Na Dunya Me Ek Paher
Baad-E Rasool Khall Gayi Apni Jaan Par
Ummath Se Tang Hoke Jahaan Se Kiya Safar

Ki Thi Ye Faatema Ne Wasiyath Imaam Se
Dafnaana Shab Me Mujh Ko Chupa Kar Awaam Se

Qabren Bhi Thi Banaai Ali Ne Kai Jaga
Thi Isme Maslehath Badi Shak Ki Nahi Hai Jaa
Bint-E Rasoole Paak Ko Aada Se Qouf Tha
Qaani Na Khowd Daalen Laeen Qabr-E Sayyeda

Afsos Iska Hai Ye Baqdi Na Margaya
Us Waqt Jo Na Hosaka Wo Aaj Kar Gaya

Aye Qabre Syeda Teri Rahmath Ke Mai Nisaar
Aye Qabre Syeda Teri Izzath Ke Mai Nisaar
Aye Qabre Syeda Teri Azmath Ke Mai Nisaar
Aye Qabre Syeda Teri Ghurbath Ke Mai Nisaar

Aada Ne Martaba Tera Jaana Na Haif Hai
Aqwaale Mustaf Ko Bhi Maana Na Haif Hai

Kis Mu Se Ye Kahoon Ke Miti Qabre Syeda
Towdi Gayi Mazaare Hassan Waa Musibatha
Zainul Aba Wo Baaqer Wo Jaafar Ki Qabr Ka
Hai Hai Nishaan Bhi Koi Baaqi Nahi Raha

Is Zulm Ki Nazeer To Aye Aasmaan Nahi
Saadaath Ki Bh Qabroun Ka Naam-O Nashaan Nahi

Page 135 Of 137

Aey Charkh Teray Zulm Ki Kuch Inteha Nahin
Aey Charkh Teray Zulm Ki Kuch Inteha Nahin
Ye Sach Hai Ki Kisi Sey Bhi Tuney Wafa Nahin
Lekin Bataadey Kya Tujhey Khauff-E Khuda Nahin
Ya Fatima Sey Bhi Tujhey Sharm-O Hayaa Nahin

Zehra Ki Qabr Najdiyon Ney Haif Dhaadiya
Sach Toh Yeh Hai Kaaba-E Eemaan Gira Diya

Kaabey Ko Dhaya Marqad-E Zehra Jo Dhaadiya
Kaaba Nahin Tha Arsh-E Khuda Thaa Gira Diya
Yeh Zulm Woh Hai Jiski Nahin Koyi Inteha
Parwardigaar Azmat-E Zehra Ka Waasta

Naazil Balaa Ho Unpey Koyi Aasmaan Sey
Jaldi Mita Dey Najdiyon Ko Tu Jahaan Sey

Jaan-E Rasool Khaasa-E Daawar Woh Fatima
Shohar Hai Jiska Saaqiye- Kausar Woh Fatima
Shabbir-O Mujtaba Ki Jo Maadar Woh Fatima
Pehlu Pey Jiskay Haaye Giraa Dar Woh Fatima

Talwar Aur Pehlu-E Zehra Hazaar Haif
Pushtey Mubarak Aapki Durrey Hazaar Haif

Thi Paanch Saal Ki Kay Khatija Ney Ki Qazaa
Maadar Ka Saaya Sar Sey Uttha Waa Mohammada
Atthaarween Baras Mey Pidar Sey Huvi Juda
Jheyli Museebatein Woh Nahin Jiski Inteha

Zinda Rahi Toh Baap Ko Rona Nahin Mila
Baad-E Rasool Chain Sey Sona Nahin Mila

Bait-Ul Huzan Ko Jaati Thi Zehra Paey Buka
Afsos Us Jagaah Ko Bhi Ummat Ney Dhaa Diya
Saaye Mein Baitthna Bhi Gawaara Nahin Huva
Yeh Qadr Fatima Ki Huvi Waah Mohammada

Kaisey Karoon Bayaan Joh Zulm-O Sitam Huvey
Baher Shumaar Sey Hain Woh Ranjo Alam Huvey

Kyun Mominou Kaleja Tumhara Na Muh Ko Aaye
Darwaza Fatima Kay Shikam Par Giraaya Haaye
Sadmey Sey Jiskay Hazrat-E Mohsin Wafaat Paaye
Yeh Syeda Ney Baap Ki Ummat Sey Dukh Utthaaye

Aalam Mey Is Tarah Sey Kisi Par Jafa Na Ho
Mazlooma Fatima Si Koi Ya Khuda Na Ho

Suntey Ho Momineen Toh Karta Hoon My Bayaan
Barbaadiye Quboor Aaimaa Ki Daastaan
Qabr-E Hasan Pey Baandhi Hai Aada Ney Bakriyan
Oonton Ko Lekay Jaatey Hain Har Waqt Saarban

Ki Sharm Kuch Khuda Sey Na Uskay Rasool Sey
Allah Samjhey Jald Yeh Qaum-E Jahool Sey

Ranj-O Alam Ki Dil Pey Girey Kyun Na Bijliyan
Masjid Ali Ki Gosh Ki Dukaan Al-Amaan
Qabr-E Khatija Pey Toh Barasti Hai Goliyan
Is Waastey Kay Fatima Zehra Ki Thi Yeh Maa

Ummat Ney Khoob Qadr-E Risaalat Maab Ki
Qabrein Bhi Ahlebait Ki Hai Hai Kharaab Ki

Ji Chahta Hai Kaat Kay Marjayein Khud Galaa
Moulood Nabi Ka Hogaya Afsos Mazbala
Kis Muh Sey Yeh Kahoon Kay Huvey Zulm Aur Kya
Qabr-E Batool-E Paak Ko Kachrey Sey Bhar Diya

Kachrey Mey Roz Aag Lagatey Hain Haif Hai
Bint-E Nabi Ki Qabr Jalaatey Hain Haif Hai

Yaaro Bathaao Zulm Ki Kuch Inteha Bhi Hai
Ummat Ko Aah Paas-E Rasool-E Khuda Bhi Hai
Baddkar Koi Jahan Mey Is Sey Jafaa Bhi Hai
Qabron Mey Haif Aag Lagaana Rawaa Bhi Hai

Haq Ki Qasam Na Rahem Sey Ya Shah Kaam Lo
Ya Mustafa Lahad Sey Uttho Inteqaam Lo

Hum Dekhein Qabr-E Fatima Mitjaaye Haif Haye
Zehra Ki Qabr Aag Sey Jaljaye Haif Haye
Shiyon Ko Sunkay Baat Yeh Chain Aaye Haif Haye
Momin Galaa Na Kaat Kay Marjaaye Haif Haye

Dholey Yeh Haat Jeeney Sey Inka Yeh Kaam Hai
Saadat Ko Toh Dehar Mey Rehna Haraam Hai

Ek Soore Fateha – Saare Marhumeen Aur Marhumaat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *