Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho Naat Lyrics
Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho | Ai Kaash ! Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho
हर वक़्त तसव्वुर में मदीने की गली हो
और याद मुहम्मद की मेरे दिल में बसी हो
ए काश ! तसव्वुर में मदीने की गली हो
और याद-ए-मुहम्मद भी मेरे दिल में बसी हो
दो सोज़-ए-बिलाल, आक़ा ! मिले दर्द रज़ा सा
सरकार ! ‘अता ‘इश्क़-ए-उवैस-ए-क़रनी हो
ए काश ! मैं बन जाऊँ मदीने के मुसाफ़िर
फिर रोती हुई तयबा को बारात चली हो
ए काश ! मदीने में मुझे मौत यूँ आए
चौखट पे तेरी सर हो, मेरी रूह चली हो
जब ले के चलो गोर-ए-ग़रीबाँ को जनाज़ा
कुछ ख़ाक मदीने की मेरे मुँह पे सजी हो
जिस वक़्त नकीरैन मेरी क़ब्र में आएँ
उस वक़्त मेरे लब पे सजी ना’त-ए-नबी हो
आक़ा का गदा हूँ, ए जहन्नम ! तू भी सुन ले
वो कैसे जले जो कि ग़ुलाम-ए-मदनी हो
आक़ा की शफ़ा’अत से तो जन्नत ही मिलेगी
ए काश ! कि क़दमों में जगह उन के मिली हो
अल्लाह की रहमत से तो जन्नत ही मिलेगी
ए काश ! महल्ले में जगह उन के मिली हो
अल्लाह करम ऐसा करे तुझ पे जहाँ में
ए दा’वत-ए-इस्लामी ! तेरी धूम मची हो
‘अत्तार हमारा है, सर-ए-हश्र इसे, काश !
दस्त-ए-शह-ए-बतहा से यही चिठ्ठी मिली हो
शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी
नात-ख़्वाँ:
मुहम्मद ओवैस रज़ा क़ादरी
har waqt tasawwur me.n madine ki gali ho
aur yaad muhammad ki mere dil me.n basi ho
ai kaash ! tasawwur Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho Naat Lyricsme.n madine ki gali ho
aur yaad-e-muhammad bhi mere dil me.n basi ho
do soz-e-bilaal, aaqa ! mile dard raza sa
sarkaar ! ‘ata ‘ishq-e-uwais-e-qarani ho
ai kaash ! mai.n ban jaau.n madine ka musaafir
phir roti hui tayba ko baaraat chali ho
ai kaash ! madine me.n mujhe maut yu.n aae
chaukhaT pe teri sar ho, meri rooh chali ho
jab le ke chalo gor-e-gareebaa.n ko janaaza
kuchh KHaak madine ki mere moonh pe saji ho
jis waqt nakeerain meri qabr me.n aae.n
us waqt mere lab pe saji naa’t-e-nabi ho
aaqa ka gada hu.n, ai jahannam ! tu bhi sun le
wo kaise jale jo ki ghulaam-e-madani ho
aaqa ki shafaa’at se to jannat hi milegi
ai kaash ! ki qadmo.n me.n jagah un ke mili ho
allah ki rahmat se to jannat hi milegi
ai kaash ! mahalle me.n jagah un ke mili ho
allah karam aisa kare tujh pe jahaa.n me.n
ai dawat-e-islami teri dhoom machi ho
‘Attar hamaara hai, sar-e-hashr ise, kaash !
dast-e-shah-e-bat.ha se yahi chiThThi mili ho