Ejaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-e-Zamana Lyrics
Ejaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-e-Zamana!
Toota Hai Asia Mein Seher-e-Farangiyana
Tameer-e-Ashiyan Se Main Ne Ye Raaz Paya
Ahl-e-Nawa Ke Haq Mein Bijli Hai Ashiyana
Ye Bandagi Khudai, Woh Bandagi Gadai
Ya Banda-e-Khuda Ban Ya Banda-e-Zamana!
Ghafil Na Ho Khudi Se, Kar Apni Pasbani
Shaid Kisi Haram Ka Tub Hi Hai Astana
Ae LA ILAH Ke Waris! Baqi Nahin Hai Tujh Mein
Guftar-e-Dilbarana, Kirdar-e-Qaharana
Teri Nigah Se Dil Seenon Mein Kanpte The
Khoya Gya Hai Tera Jazb-e-Qalandarana
Raaz-e-Haram Se Shaid Iqbal Ba-Khabar Hai
Hain Iss Ki Guftugu Ke Andaz Mehramana
Khird-Mandon Se Kya Puchoon Ke Meri Ibtida Kya Hai
Khird-Mandon Se Kya Puchon Ke Meri Ibtida Kya Hai
Ke Main Iss Fikar Mein Rehta Hun, Meri Intiha Kya Hai
Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se Pehle
Khuda Bande Se Khud Puche, Bata Teri Raza Kya Hai
Maqam-e-Guftugu Kya Hai Agar Main Keemiya-Gar Hun
Yehi Souz-e-Nafas Hai, Aur Meri Keemiya Kya Hai!
Nazar Ayeen Mujhe Taqdeer Ki Gehraiyan Uss Mein
Na Puch Ae Hum-Nasheen Mujh Se Woh Chashm-e-Surma Sa Kya Hai
Agar Hota Woh Majzoob*-e-Farangi Iss Zamane Mein
To Iqbal Uss Ko Samjhata Maqam-e-Kibriya Kya Hai
Nawa-e-Subahgahi Ne Jigar Khoon Kar Diya Mera
Khudaya Jis Khata Ki Ye Saza Hai, Woh Khata Kya Hai!
Germani Ka Mashoor Majzoob Falsafi Natsha Jo Apne Qalbi Wardaat Ka Sahih Andaza Na Kar Saka Aur Issliye Iss Ke Falsafiyana Afkar Ne Isse Gallat Raste Par Dal Diya.
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agaahi
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agaahi
Khule Hain Ghulamon Par Asrar-e-Shehanshahi
Attar Ho, Rumi Ho, Razi Ho, Ghazali Ho
Kuch Hath Nahin Ata Be Aah-e-Sahargahi
Naumeed Na Ho In Se Ae Rahbar-e-Farzana
Kamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi
Ae Tair-e-Lahooti! Uss Rizq Se Mout Achi
Jis Rizq Se Ati Ho Parwaz Mein Kotahi
Dara-o-Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aula
Ho Jis Ki Faqeeri Mein Boo-e-Asadullahi
Aaeen-e-Jawanmardan, Haq Goyi-o-Bebaki
Allah Ke Sheron Ko Ati Nahin Roobahi
Mujhe Aah-o-Faghan-e-Neem Shab Ka Phir Peyam Aya
Tham Ae Rehru Ke Shaid Phir Koi Mushkil Maqam Aya
Zara Taqdeer Ki Gehraiyon Mein Doob Ja Tu Bhi
Ke Iss Jangah Se Main Ban Ke Taeg-e-Be Nayam Aya
Ye Misra Likh Diya Kis Shoukh Ne Ne Mehrab-e-Masjid Par
Ye Nadan Gir Gye Sajdon Mein Jab Waqt-e-Qayam Aya
Chal, Ae Meri Gharibi Ka Tamasha Dekhne Wale
Woh Mehfil Uth Gyi Jis Dam To Mujh Tak Dour-e-Jaam Aya
Diya Iqbal Ne Hindi Musalmanon Ko Souz Apna
Ye Ek Mard-e-Tan Asan Tha, Tan Asanon Ke Kaam Aya
Issi Iqbal Ki Main Justuju Karta Raha Barson
Bari Muddat Ke Baad Akhir Woh Shaheen Zair-e-Daam Aya