Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gaya Hun Ya Rab Lyrics
Aik Arzoo
A Longing
Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun Ya Rab!
Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gya Ho
Sourish Se Bhagta Hun, Dil Dhoondta Hai Mera
Aesa Sukoot Jis Par Taqreer Bhi Fida Ho
Merta Hon Khamashi Par, Ye Arzoo Hai Meri
Daman Mein Koh K Ek Chota Sa Jhonpara Ho
Azad Fikr Se Hon, Uzlat Mein Din Guzaron
Dunya Ke Gham Ka Dil Se Kanta Nikl Gya Ho
Lazzat Surood Ki Ho Chiryon Ke Chehchon Mein
Chashme Ki Shourishon Mein Baja Sa Baj Raha Ho
Gul Ki Kali Chatak Kar Paigham De Kisi Ka
Saghir Zara Sa Goya Mujh Ko Jahan Numa Ho
Ho Hath Ka Sarhana, Sabze Ka Ho Bichona
Sharmaye Jis Se Jalwat, Khalwat Mein Woh Ada Hi
Manoos Iss Qadar Soorat Se Meri Bulbul
Nanhe Se Dil Mein Uss Ke Khatka Na Kuch Mera Ho
Sift Bandhe Dono Janib Boote Hare Hare Hon
Nadi Ka Saaf Pani Tasveer Le Raha Ho
Ho Dil Faraib Aesa Kuhsar Ka Nazara
Pani Bhi Mouj Ban Kar, Uth Uth Ke Dekhta Ho
Aghosh Mein Zameen Ki Soya Huwa Ho Sabza
Phir Phir Ke Jhariyon Mein Pani Chamak Raha Ho
Pani Ko Chu Rahi Rahi Ho Jhuk Jhuk Ke Gul Ki Tehni
Jaise Haseen Koi Aaeena Dekhta Ho
Mehndi Lage Suraj Jab Sham Ki Dulhan Ko
Surkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qaba Ho
Raton Ko Chalne Wale Reh Jaen Thak Ke Jis Dam
Umeed Un Ki Mera Toota Huwa Diya Ho
Bijli Chamak Ke Un Ko Kutiya Meri Dikha De
Jab Asman Pe Har Soo Badal Ghira Huwa Ho
Pichle Pehr Ki Koeel, Woh Subah Ki Mouzan
Main Uss Ka Hamnawa Hun, Woh Meri Humnawa Ho
Kanon Pe Ho Na Mere Dair-o-Haram Ka Ehsan
Rozan Hi Jhonpari Ka Mujh Ko Sehr Numa Ho
Phoolon Ko Aye Jis Dam Shabnam Wazoo Karne
Rona Mera Wazoo Ho, Nala Meri Dua Ho
Iss Khamashi Mein Jaen Itne Buland Naale
Taron Ke Qafle Ko Meri Sada Dra Ho
Har Dardmand Dil Ko Rona Mera Rula De
Behosh Jo Pare Hain, Shaid Inhain Jaga De