Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do Naat Lyrics
Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do
Din Hai Khila Hua Magar Waqte Sahar Hai Sham Do
Khair Se Din Khuda Wo Laye Dono Haram Hame Dikhaye
Zamzam O Beer E Fatima Ke Piyenge Chalke Jaam Do
Talwo Se Unke Chaar Chand Lag Gaye Mahromah Ko
Hai Yeh Unhi Ki Tabishe Aur Hain Unhi Ke Naam Do
Haatho Se Chaar Yaar Ke Hum Ko Milenge Chaar Jaam
Daste Hasan Husain Se Aur Milenge Jaam Do
Unki Jabeen E Naaz Par Zulf E Siyaah Bikhar Gayi
Jam’a Hain Ek Waqt Me Jiddain E Subha Wa Shaam Do
Zaate Hasan Husain Hai Ahle Shabeehe Mustafa
Zaat Hain Ek Nabi Ki Zaat Aur Hain Unhi Ke Naam Do
Aarize Noor Bar Se Bikhri Hui Hati Jo Zulf
Ek Andheri Raat Me Nikle Mahe Tamaam Do
Pike Pila Ke Maiksho Kuch To Bachi-kuchi Hi Do
Qatra Do Qatra Hi Sahi Kuch To Barah-e-naam Do
Ab To Madine Lo Bula Gumbad E Sabz Do Dikha
Haamid O `Mustafa` Tere Hind Me Hain Ghulaam Do
——————-more———————-
——————verses———————
Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do
Ek Anokhi Hai Sahar Jisse Baham Hai Sham Do
Dono Taraf Hai Chehre Pe Zulfe Ziya Hai Faam Do
Do Do Sahar Hai Beech Me Pehlu Me Unke Sham Do
Unki Jabeen E Naaz Par Zulf E Siyaah Bikhar Gayi
Shab Ke Haseen Parde Me Chamke Mahe Tamaam Do
Ghuncha-e-dil Khilaiye Jalwa-e-rukh Dihaiye
Jaam-e-nazar Pilaiye Daur Chale Hudam Do
Unki Amaan Me Rahe Jinke Karam Se Milgaye
Unke Chaman Ke Pasba Hussam Aur Humaam Do
Kashti Ye Zindagi Meri Ab To Kinare Aa Lagi
Kehti Hai Tumse Zindagi Ab To Mae Dawaam Do
Maidane Naat-e-shahe Deen Akhtar Hai Purq Tar Zameen
Ye Majlise Ghazal Nahi Muh Ko Zara Lagaam Do