Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand Lyrics
Shama
The Candle
Bazm-e-Jahan Mein Main Bhi Hun Ae Shama! Dardmand
Faryad Dar Gira Sift-e-Dana-e-Sapand
Di Ishq Ne Hararat-e-Souz-e-Duron Tujhe
Aur Gul Farosh-e-Ashak-e-Shafaq-Goon Kiya Mujhe
Ho Shama-e-Bazm-e-Aysh Ke Shama-e-Mazar Tu
Har Haal Ashak-e-Gham Se Rahi Humkinar Tu
Yak Been Teri Nazar Sift-e-Ashiqan-e-Raaz
Meri Nigah Maya-e-Ashob-e-Imtiaz
Kaabe Mein, Bukade Mein Hai Yaksaan Teri Zia
Main Imtiaz-e-Dair-o-Haram Mein Phansa Huwa
Hai Shan Aah Ki Tere Dood-e-Siyah Mein
Poshida Koi Dil Hai Teri Jalwagah Mein?
Jalti Hai Tu Ke Barq-e-Tajalli Se Door Hai
Be-Dard Tere Souz Ko Samjhe Ke Noor Hai
Tu Jal Rahi Hai Aur Tujhe Kuch Khabar Nahin
Beena Hai Aur Souz-e-Darun Par Nazar Nahin
Main Josh-e-Iztirab Se Seemabdar Bhi
Agah-e-Iztirab-e-Dil-e-Beqarar Bhi
Tha Ye Bhi Koi Naaz Kisi Be Niaz Ka
Ehsas De Diya Mujhe Apne Gudaz Ka
Ye Aghi Meri Mujhe Rakhti Hai Be-Qarar
Khawabida Iss Sharar Mein Hain Atish Kade Hazar
Ye Imtiaz-e-Riffat-o-Pasti Issi Se Hai
Gul Mein Mehak, Sharab Mein Masti Issi Se Hai
Bustan-o-Bulbul-o-Gul-o-Bu Hai Ye Aghi
Asal-e-Kashakash-e-Man-o-Tu Hai Ye Aghi
Subah-e-Azal Jo Husn Huwa Dilstan-e-Ishq
Awaz-e-‘KUN’ Huwi Tapish Amoz-e-Jaan-e-Ishq
Ye Hukm Tha Ke Gulshan-e-‘KUN’ Ki Bahar Dekh
Aik Ankh Le Ke Khawab-e-Pareshan Hazar Dekh
Mujh Se Khabar Na Puch Hijab-e-Wujood Ki
Sham-e-Firaq Subah Thi Meri Namood Ki
Woh Din Gye Ke Qaid Se Main Ashna Na Tha
Ziab-e-Darakht-e-Toor Mera Ashiyana Tha
Qaidi Hun Aur Qafas Ko Chaman Janta Hun Main
Ghurbat Ke Ghamkade Ko Watan Janta Hun Main
Yaad-e-Watan Fasurdagi-e-Be-Sabab Bani
Shauq-e-Nazar Kabhi, Kabhi Zauq-e-Talab Bani
Ae Shama! Intihaye Faraib-e-Khiyal Dekh
Masjood-e-Sakinan-e-Falak Ka Maal Dekh
Mazmoon Firaaq Ka Hun, Sureya Nishan Hun Main
Ahang-e-Taba-e-Nazim-e-Kaun-o-Makan Hun Main
Bandha Mujhe Jo Uss Ne To Chahi Meri Namood
Tehreeh Kar Diya Sir-e-Diwan-e-Hast-o-Bood
Gohar Ko Musht-e-Khak Mein Rehna Pasand Hai
Bandish Agarche Sust Hai, Mazmoon Buland Hai
Chashm-e-Ghalat Nigar Ka Ye Sara Qasoor Hai
Alam-e-Zahoor-e-Jalwa-e-Zauq-e-Shaur Hai
Ye Silsila Zaman-o-Makan Ka, Kumand Hai
Tauq-e-Gulooye Husn-e-Tamasha Pasand Hai
Manzil Ka Ishtiaq Hai, Gum Karda Rah Hun
Ae Shama! Main Aseer-e-Faraib-e-Nigah Hun
Sayyad App, Halqa-e-Daam-e-Sitam Bhi App
Baam-e-Haram Bhi, Taeer-e-Baam-e-Haram Bhi App!
Main Husn Ke Ishq-e-Sarapa Gudaz Hun
Khulta Nahin Ke Naaz Hun Main Ya Niaz Hun
Haan, Ashnaye Lab Ho Na Raaz-e-Kuhan Kahin
Phir Chir Na Jaye Qissa-e-Daar-o-Rasan Kahin