Ashiq e Shah e Zaman hai Bil Yaqeen Qibla Hasan

 
Ashiq e Shah e Zaman hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Madhakhwan e Panjatan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Nikhat e Nukhta bayani se Muattar hai Dimaag
Khusboo e gul hae fan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Daagh bhi naazan the apne neik khu Shagird par
Muatarif Ahle sunan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ka har sher hai Tafseer e Quraan e Majeed
Mazhar e khulqe hasan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ki Naaton ki Taseeron se Dil hai Muztarib
Wasif e Shah e Zaman hai Bil Yaqeen Qibla hasan
kaise kaise Shayaron ki Tarbiyat farmayi hai
Aap Ustad e Zaman hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aaj Bhi Nakhade fun is baat ke hai Mohtarif
Haan Shahenshah e Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ki Nukta bayani ki Jahan me dhoom hai
Aftab e Ilm o fun hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ki Har har ada Aks e kirdar e Rasool
Patawe Shah e Zaman Hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap Gulzar e Sukhan ki Hai baharien bekhaza
Baagh baane baagh e fun hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ka ihsaan hai duniya e adab o sher par
Mohsin e Ahle Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap ke Jalwon ki kirne hai Jahan e sher mein
Naiyar e Charkhe kohan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Gulistan e Sher o Gulzar e Sukhan ka Doston
Bul Bul e Sheereen duhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Aap Ki fikr e Rasa ki hai Shuwaein Daher Mein
Jalwae Sher o Sukhan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Ache Ache Shayarane Nukhta Ras ke dekhiye
Aaj Bhi Ustad e Fun hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Ahle deen Ahle Aqidat Sab pe hai Nazre karam
Mushfiqe Ahle Sunan hai Bil Yaqeen Qibla Hasan
Mein Ali Kam Faham kya Samjhu Unke Sher ko
Mahere Fune sukhan hai Bil Yakheen Qibla Hasan

Leave a Reply

Your email address will not be published.