ALI WALAY JAHAN BETHE WAHI JANNAT BANA BETHE NAAT LYRICS

ALI WALAY JAHAN BETHE WAHI JANNAT BANA BETHE NAAT LYRICS

 

Faqeero Ka Bhi Kya Chahe Jahan Basti Basa Baithe
Ali Waley Jahan Baithey Wahi Jannat Bana Baithey

Faraz e Daar Ho Maqtal Ho Zindan Ho Ke Sehraa Ho
Jali Ishq e Ali Ki Shamma Aur Parwane Aa Baithe

Koi Mausam Koi Bhi Waqt Koi Bhi Ilaqa Ho
Jahan Zikr e Ali Chheda Wahan Deewane Aa Baithe

Ali Waalon Ka Marna Bhi Koi Marne Me Marna Hai
Chale Apne Makan Se Aur Ali Ke Dar Pe Ja Baithe

Idhar Rukhsat Kiya Sabne Udhar Aye Ali Lene
Yahan Sab Ro Rahe The Hum Wahan Mehfil Saja Baithe

Abhi Mai Qabr Me Leta Hi Tha Ek Noor Sa Faila
Meri Baali Pe Aake Khud Ali e Murtaza Baithe

Ali Ke Naam Ki Mehfil Saji Shehr e Khamosha Me
The Jitne Bawafa Woh Sab Ke Sab Mehfil Me Aa Baithe

Nizamat Ke Liye Maula Ne Khud Meesam Ko Bulwaya
Woh Lehja Tha Ke Sab Daanto Tale Ungli Daba Baithe

Ye Kaun Aya Ke Isteqbaal Me Sab Ambiya Uthe
Na Baithega Koi Tab Tak Na Jab Tak Fatima Baithe

Similar Posts

  • Nabeez : A Favorite Drink Of Prophet Muhammad

    Nabeez : A Favorite Drink Of Prophet Muhammad   Nabeez : नबीज़ एक ड्रिंक जो मुहम्मद की पसंदीदा थी   Nabeez : A Favorite Drink Of Prophet Muhammad Nabeez : नबीज़ एक ड्रिंक जो मुहम्मद स.अ. की पसंदीदा थी   नबीज़ एक बरकत वाली ड्रिंक ( Drink ) है जो पैगंबर मुहम्मद सल्लल लाहु अलैहि…

  • Taiba Bulana Aaqa Taiba Bulana Lyrics

    Taiba Bulana Aaqa Taiba Bulana Lyrics     Taiba bulana aaqa Taiba bulana Taiba bulake dil ki hasrat mitana तैबा बुलाना आक़ा तैबा बुलाना तैबा बुला के दिल की हसरत मिटाना   Subha aur sham lunga tera pyara naam lunga Qabr me aaqa tere daman ko thaam lunga सुबह और शाम लूंगा तेरा प्यारा नाम…

  • Tafseer Surah Yasin From Kanzul Imaan

    Tafseer Surah Yasin From Kanzul Imaan 36 सूरए यासीन 36  सूरए यासीन بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ يسٓ وَٱلْقُرْءَانِ ٱلْحَكِيمِ إِنَّكَ لَمِنَ ٱلْمُرْسَلِينَ عَلَىٰ صِرَٰطٍۢ مُّسْتَقِيمٍۢ تَنزِيلَ ٱلْعَزِيزِ ٱلرَّحِيمِ لِتُنذِرَ قَوْمًۭا مَّآ أُنذِرَ ءَابَآؤُهُمْ فَهُمْ غَٰفِلُونَ لَقَدْ حَقَّ ٱلْقَوْلُ عَلَىٰٓ أَكْثَرِهِمْ فَهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ إِنَّا جَعَلْنَا فِىٓ أَعْنَٰقِهِمْ أَغْلَٰلًۭا فَهِىَ إِلَى ٱلْأَذْقَانِ فَهُم مُّقْمَحُونَ وَجَعَلْنَا مِنۢ…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *