Aa Gaye Mujda Shafaat Ka sunane Wale

 Aa Gaye Mujda Shafaat Ka sunane Wale

Aa Gaye Mujda Shafaat Ka sunane Wale

 • Aa Gaye Mujdah Shafa’at Ka sunane WaleNaar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale.
  Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
  Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale.
  Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,
  Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale.
  Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,
  Marhaba na’at shah-e-deen ki sunane wale.
  Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
  Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale.
  Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
  Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.