6 Kalma Sharif In Hindi English Urdu With Tarjuma

 

So in This Article, you can read 6 Kalma Sharif with tarjuma in Hindi English Urdu so lets read…

6-kalma-sharif
Select Language
Kalma Sharif In Hindi
Kalma Sharif In English
3. Teesra Kalma Tamjeed
1. Kalma-e-Tayyab – Pehla Kalma
لَٓا اِلَاہَ اِلَّا اللّٰہُ مُحَمَّدٌ رَسُوْلُ اللّٰہِ 0 (ﷺ)

Pehla Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi Aur Mohammad (ﷺ) Allah Ke Rasool Haiñ…!!!)

2. Kalma-e-Shahaadat – Dusra Kalma
اَشھَدُ اَن لَّآ أِلَاہَ اِلَّا اللّٰہُ وَحْدَہٗ لَا شَرِیکَ لَہُ وَاَشْھَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُہٗ وَرَسُوْلُہٗ 0

Dusra Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Maiñ Gawaahi Deta Hooñ Ki Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Wo Akela Hai Uska Koi Shareek Nahi Aur Maiñ Gawahi Deta Hooñ Ki Beshaq Mohammad (ﷺ) Allah Ke Bande Aur Rasool Hain…!!!)

3. Kalma-e-Tamjeed – Teesra Kalma
سُبحَانَ اللّٰہِ وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ وَلَآ اِلٰہَ اِلاَّ اللہُ وَاللّٰہُ اَکْبَرُ ⁰ وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّۃَ اِلَّا بِاللّٰہِ الْعَلِیِِّ الْعَظِیْمِ ⁰

Teesra Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Allah Paak Hai Aur Sab Khubiyañ Allah Ke Liye Haiñ Aur Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Aur Allah Sab Se Bada Hai Aur Gunaaho Se Bachne Ki Taaqat Aur Neki Karne Ki Taufiq Allah Hi Ki Taraf Se Hai Jo Sabse Buland Azmat Wala Hai…!!!)

4. Kalma-e-Tauheed – Chautha Kalma
لَآ اِلٰہَ اِلاَّ اللہُ وَحْدَہٗ لَا شَرِیکَ لَہُ الْمُلْکُ وَلَہُ الْحَمْدُ یُحْیِِ وَیُمِیْتُ وَ ھُوَ حَیُّ لَّا یَمُوْتُ اَبَدً ااَبَدًا ⁰ ذُوالْجَلَالِ وَالْاِکْرَامِ بِیَدِہِ الْخَیْرُ ⁰ وَ ھُوَ عَلٰی کُلِِّ شَیْءٍ قَدِیْرُ ⁰

Chautha Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Wo Akela Hai Uska Koi Shareek Nahi Uski Badshaahi Hai Aur Usi Ke Liye Tamam Ta’reef Hai Wahi Zinda Karta Hai Aur Wahi Marta Hai Wo Zinda Hai Usko Hargiz Kabhi Maut Nahi Aayegi Bade Jalaal Aur Buzurgi Wala Uski Qudrat Me Bhalayi Hai Aur Wo Har Chiz Par Qadir Hai…!!!)

5. Kalma-e-Istegfaa – Panchwa Kalma
اَسْتَغْفِرُ اللّٰہَ رَبِِّیْ مِنْ کُلِِّ ذَمْبٍ اَذْنَبْتُہٗ عَمَدًااَوْ خَطَاءً سِرًّااَوْعَلَا نِیَۃً وَّاَتُوْبُ اِلَیْہِ مِنَ الذَّمْبِ الَّذِیْٓ اَعْلَمُ وَمِنَ الذَّمْبِ الَّذِیْ لَآ اَعْلَمُ اِنَّکَ اَنْتَ عَلَّامُ الْغُیُوْبِ وَسَتَّارُ الْغُیُوْبِ وَغَفَّارُ الذُّنُوْبِ وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّۃَ اِلَّا بِاللّٰہِ الْعَلِیِِّ الْعَظِیْمِ 0

Panchwa Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Maiñ Allah Se Maafi Maangta Hooñ Jo Mera Parwardigaar Hai Har Gunaaho Se, Jo Maine Jaan Buj Kar Kiya Ya Bhool Kar, Chhup Kar Kiya Ya Zaahir Ho Kar Aur Maiñ Uski Baargaah Me Tauba Karta Hooñ, Us Gunaah Se Jisko Maiñ Jaanta Hooñ Aur Us Gunaah Se Bhi Jisko Maiñ Nahi Jaanta Hooñ Beshaq To Gaibo Ko Jaanne Wala Aur Aiboñ Ko Chhupane Wala Aur Gunaaho Ko Bakhshne Wala Hai Aur Gunaaho Se Bachne Ki Taaqat Aur Neki Karne Ki Taufiq Allah Hi Ki Taraf Se Hai Jo Sabse Buland Azmat Wala Hai…!!!)

6. Kalma-e-Radd-e-Kufr – 6 Kalma
اَللّٰہُمَّ اِنِّیٓ اَعُوْذُبِکَ مِنْ اَنْ اُشْرِکَ بِکَ شَیْءًا وَّاَنَا اَعْلَمُ بِہٖ وَاَسْتَغْفِرُکَ لِمَا لَآ اَعْلَمُ بِہٖ تُبْتُ عَنْہُ وَتَبَرَّاْتُ مِنَ الْکُفْرِ وَشِِّرکِ وَالْکِذْبِ وَالْغِیبَۃِ وَالْبِدْعَۃِ وَالنَّمِیْمَۃِ وَالْفَوَاحِشِ وَالْبُھْتَانِ وَالْمَعَاصِیْ کُلِِّھَآ اَسْلَمْتُ وَاَقُوْلُ لَآ اِلٰہَ اِلاَّ اللّٰہُ مُحَمَّدٌ رَسُوْلُ اللّٰہِ 0 (ﷺ)

6 Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Ay Allah Maiñ Teri Panaah Mangta Hooñ Is Baat Se Ki Maiñ Kisi Shai Ko Tera Shareek Banau Jaan Booj Kar, Maiñ Bakhshish Maangta Hooñ Tujhse Is Gunaah Ki Jisko Maiñ Nahi Jaanta Aur Is Baat Se Maine Tauba Ki Aur Bezaar Hua Kafir Se Aur Shirk Se Aur Jhoot Se Aur Geebat Se Aur Bid’at Se Aur Chugli Se Aur Be’Hayayioñ Se Aur Bohtan Se Aur Tamam Gunaaho Se Aur Maiñ Islaam Laya Aur Maiñ Kahta Huñ Ki Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Aur Mohammad (ﷺ) Allah Ke Rasool Haiñ…!!!)

Kalma Sharif In Hindi

1. पहला कलमा तय्यब – Pehla Kalma
ला इलाहा इल-लल्लाहू मोहम्मदुर रसूलुल्लाह (सल्लल्लाहू अलयही वसल्लम)

Pehla Kalma Tarjuma In Hindi
तर्जमा:- अल्लाह के सिवा कोई इबादत के लायक नही और मोहम्मद (सल्लल्लाहू अलयही वसल्लम) अल्लाह के रसूल हैं।

2. दूसरा कलमा शहादात – Dusra Kalma
अशहदू अल्ला-इलाहा इल-लल्लाहू व अशहदू अन्ना मोहम्मदन अब्दुहू व रसूलुह

Dusra Kalma Tarjuma In Hindi
तर्जमा:- मैं गवाही देता हुं की अल्लाह के सिवा के कोइ मा’बूद नहीं, वो अकेला है उसका कोई शरीक नहीं और मैं गवाही देता हुं की बेशक मोहम्मद (सल्लल्लाहू अलयही वसल्लम) अल्लाह के रसुल और बंदे हैं।

3. तिसरा कलमा तमजीद – Teesra Kalma
सुब्हान अल्लाही वल हमदुल्लिल्लाही वला इलाहा इल-लल्लाहू वल्लाहु अकबर वला हवला वला कुव्वता इल्ला बिल्लाहील अलिययिल अज़ीम

Teesra Kalma Tarjuma In Hindi
तर्जमा:-अल्लाह पाक है और सब खूबियां अल्लाह के लिए है और अल्लाह के सिवा कोई मा’बूद नहीं और अल्लाह सब से बड़ा है और गुनाहों से बचने की ताकत और नेकी करने की तौफीक अल्लाह ही की तरफ से है जो सबसे बुलंद अज़मत वाला है।

4. चौथा कलमा तौहीद – Chautha Kalma
ला इलाहा इल-लल्लाहू वहदहू ला शरीका लहूल मुल्कू वलअहुल हम्दू हुह्यी व युमीतु व हुवा हय्यूल ला यमूतु अ-बदन अ-बदा ⁰ ज़ुल्जलाली वल इकरामी बियदिहील खैर ⁰ व हुवा अला कुल्ली शै इन कदीर ⁰

Chautha Kalma Tarjuma In Hindi
तर्जमा:-अल्लाह के सिवा कोई मा’बूद नहीं वो अकेला है उसका कोई शरीक नहीं उसकी बादशाही है और उसी के लिए तमाम तारीफ है वही जिंदा करता है और वही मरता है वो जिंदा है उसे हरगिज कभी मौत नहीं आएगी बड़े जलाल और बुज़ुर्गी वाला उसकी कुदरत में भलाई है और वो हर चीज पर कादिर है।

5. पांचवा कलमा इस्तेगफार – Panchwa Kalma
अस्तग्फिरुल्लाह रब्बी मीन कुल्ली ज़मबिन अज़नबतुहू अ-मदन अव खता अन सिर्रन अव अला नि-यतंव व अतुबू इलैही मि-नज़ ज़मबील लज़ी अअलमु व मि-नज़ ज़मबिल लज़ी ला अअलमु इन-नका अनता अल्लामुल गुयूबि व सत्तारुल गुयूबी व गफ्फारूज़ ज़ु नूबी वला हव-ला वला कुव्वता इल्ला बिल्ला हिल अलिययिल अज़ीम।

Panchwa Kalma Tarjuma In Hindi
तर्जमा:-मैं अल्लाह से माफ़ी माँगता हूँ जो मेरा परवर्दीगार है हर गुनाह से, जो मैंने जान बुज कर किया या भूल कर, छूप कर किया या ज़ाहिर हो कर और मैं उसकी बारगाह में तौबा करता हूँ, उस गुनाह से जिसको मैं जानता हूँ और उस गुनाह से भी जिसको मैं नहीं जानता हूं बेशक तू गैबो को जाने वाला और ऐबों को छुपाने वाला और गुनाहों को बख्शने वाला है और गुनाहों से बचने की ताकत और नेकी करने की तौफीक अल्लाह ही की तरफ से है जो सबसे बुलंद अजमत वाला है।

6. छठा कलमा रद्द ए कुफ्र – 6 Kalma
अल्लाहुम्मा इन्नी अऊज़ुबिका मिन अन उष्रिका बिका शय अंव व अना अअलमु बिही व अस्तग्फिरुका लीमा ला अअलमुबिही तूबतू अन्हु व तबर्रा-अ-तु मिनल कुफ्री वश शिर्की वल किज़्बि वल गी-बती वल बिदअती वन नमीमती वल फवाहिशी वल बुहतानी वल म’आसी कुल्लीहा असलमतू व अकुलु ला इलाहा इल-लल्लाहू मोहम्मदुर रसूलुल्लाह (सल्लल्लाहु अलयही वसल्लम)

6 Kalma Tarjuma In Hindi
तर्जमा: ऐ अल्लाह मैं तेरी पनाह मांगता हूं इस बात से कि मैं किसी शै को तेरा शारीक बनाउं जान बूज कर, मैं बख्शीश मांगता हूं तुझसे इस गुनाह की जिसे मैं नहीं जानता और इस बात से मैंने तौबा की और बेज़ार हुआ काफिर से और शिर्क से और झूठ से और गीबत से और बिदत से और चुगली से और बे हयायों से और बोहतन से और तमाम गुनाहो से और मैं इस्लाम लाया और मैं कहता हूं कि अल्लाह के सिवा कोई मबूद नहीं और मोहम्मद (ﷺ) अल्लाह के रसूल हैं।

6 Kalma Sharif

Kalma Sharif In English

1. Pehla Kalma Tayyab
La-ilaha Il-lallahu Muhammadur Rasoolullah (Sallallahu Alayhi Wasallam)

Pehla Kalma Tarjuma
Tarjama:-(Tarjama:- Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi Aur Mohammad (ﷺ) Allah Ke Rasool Haiñ)

Also Read:- Namaz Ka Tarika

2. Dusra Kalma Shahadat
Ashhadu Allah-Ilaha Il-Lallahu wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu and Rasuluh

Dusra Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Maiñ Gawaahi Deta Hooñ Ki Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Wo Akela Hai Uska Koi Shareek Nahi Aur Maiñ Gawahi Deta Hooñ Ki Beshaq Mohammad (ﷺ) Allah Ke Bande Aur Rasool Haiñ)

3. Teesra Kalma Tamjeed
Subhan Allahi wal-hamdulillahi walaa ilaha ill-lallahu wallahu akbar walaa hawla walaa quwwata illa billahil aliyil azeem

Teesra Kalma Tarjuma
Tarjama:-Allah Paak Hai Aur Sab Khubiyañ Allah Ke Liye Haiñ Aur Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Aur Allah Sab Se Bada Hai Aur Gunaaho Se Bachne Ki Taaqat Aur Neki Karne Ki Taufiq Allah Hi Ki Taraf Se Hai Jo Sabse Buland Azmat Wala Hai)

4 Kalma Tauheed – Chautha Kalma
La ilaha il-lallahu wahdahu la sharika lahul mulku walahul hamdu huhyi wa yumitu wa huwa hayul la yamutu a-badan a-bada ⁰ zuljalali wal ikraami biydiheel khair ⁰ wa huwa ala kulli shay in kadir ⁰

Chautha Kalma Tarjuma
Tarjama:-Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Wo Akela Hai Uska Koi Shareek Nahi Uski Badshaahi Hai Aur Usi Ke Liye Tamam Ta’reef Hai Wahi Zinda Karta Hai Aur Wahi Marta Hai Wo Zinda Hai Usko Hargiz Kabhi Maut Nahi Aayegi Bade Jalaal Aur Buzurgi Wala Uski Qudrat Me Bhalayi Hai Aur Wo Har Chiz Par Qadir Hai)

5 Kalma Istegfaar – Panchwa Kalma
Astaghfirullah rabbi meen kulli zambin aznabatuhu a-madan av khata an sirran av ala ni-yatav wa atbu ilahi mi-naz zambil lazi aalamu wa mi-naz zambil lazi la aalamu in-naka anta allamul guyubi wa sattarul guyubi wa gaffaruz zu nubi wala haw-La wala kuwwata illa billa hill aliyil azeem.

Panchwa Kalma Tarjuma
Tarjama:-Maiñ Allah Se Maafi Maangta Hooñ Jo Mera Parwardigaar Hai Har Gunaaho Se, Jo Maine Jaan Buj Kar Kiya Ya Bhool Kar, Chhup Kar Kiya Ya Zaahir Ho Kar Aur Maiñ Uski Baargaah Me Tauba Karta Hooñ, Us Gunaah Se Jisko Maiñ Jaanta Hooñ Aur Us Gunaah Se Bhi Jisko Maiñ Nahi Jaanta Hooñ Beshaq To Gaibo Ko Jaanne Wala Aur Aiboñ Ko Chhupane Wala Aur Gunaaho Ko Bakhshne Wala Hai Aur Gunaaho Se Bachne Ki Taaqat Aur Neki Karne Ki Taufiq Allah Hi Ki Taraf Se Hai Jo Sabse Buland Azmat Wala Hai)

6 Kalma Radd-e-Kufr – 6 Kalma
Allahumma inni auzubika min un ushrika bika shay av wa ana aalmu bihi wa astaghfiruka lima la aalamubihi tubtu anhu wa tabarra-a-tu minal kufri vash shirqi wal kizbi wal gi-bati wal bidaati wan naimimati wal fawahishi wal buhtani wal m’aasi kulliha aslamtu wa aklu la ilaha il-llallahu mohammadur rasulullah (Sallallahu Alaihi Wasallam)

6 Kalma Tarjuma
(Tarjama:- Ay Allah Maiñ Teri Panaah Mangta Hooñ Is Baat Se Ki Maiñ Kisi Shai Ko Tera Shareek Banau Jaan Booj Kar, Maiñ Bakhshish Maangta Hooñ Tujhse Is Gunaah Ki Jisko Maiñ Nahi Jaanta Aur Is Baat Se Maine Tauba Ki Aur Bezaar Hua Kafir Se Aur Shirk Se Aur Jhoot Se Aur Geebat Se Aur Bid’at Se Aur Chugli Se Aur Be’Hayayioñ Se Aur Bohtan Se Aur Tamam Gunaaho Se Aur Maiñ Islaam Laya Aur Maiñ Kahta Huñ Ki Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Aur Mohammad (ﷺ) Allah Ke Rasool Haiñ…!!!) 6 Kalma Sharif

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *